daman-darida miras
be-nām āvāra paudoñ
āzurda ashjār
bahmanī tājdāroñ ke abadī masākin se mulhaq
nauha-kunāñ pattharoñ kī ye chhoTī sī bastī
abābīleñ jis kī muhāfiz
dil-shikasta diloñ dil-girafta shaboñ ke gulū-gīr lamhe jis ke ham-rāz
tū jahāñ tiis battīs barsoñ se rahtī chalī aa rahī hai
kyā vāqa'ī is qadar pur-sukūñ to yahāñ hai
maiñ tirī kokh kī fasl kā ek paudā
terī shafqat kā jharnā kahāñ hai
taaj katba kā sar pe uThā.e hue
tū bhī kam kyā kisī tājvar se hai maañ
mere dāman ko lekin zarā dekh le
mujh se anfās kā le hisāb
zindagī kī laḌā.ī meñ nusrat milī kin maqāmāt par
aur kahāñ maiñ ne paa.ī shikast
kis nafas zulmatoñ ke paḌāv mile
kis nafas chāhatoñ ko nadāmat milī
kis nafas ḳhvāhishoñ ke janāze uThe
kis nafas dil jalā
kis nafas mere jazboñ kī mīrās gum ho ga.ī
mere ehsās kī ek ik pankhuḌī
kis nafas bik ga.ī
nīm-shab kī ḳhamoshī ke jangal meñ merī navā ke parind
aaj pahlī dafa
tere maskan kī bojhal fazāoñ meñ mazrūb uḌte haiñ
un kā darmāñ samā'at tirī ho to ho
maiñ to dāman-darīda tahī-dast huuñ
be-nam aawara paudon
aazurda ashjar
bahmani tajdaron ke abadi masakin se mulhaq
nauha-kunan pattharon ki ye chhoTi si basti
ababilen jis ki muhafiz
dil-shikasta dilon dil-girafta shabon ke gulu-gir lamhe jis ke ham-raaz
tu jahan tis battis barson se rahti chali aa rahi hai
kya waqa'i is qadar pur-sukun to yahan hai
main teri kokh ki fasl ka ek pauda
teri shafqat ka jharna kahan hai
taj katba ka sar pe uThae hue
tu bhi kam kya kisi tajwar se hai man
mere daman ko lekin zara dekh le
mujh se anfas ka le hisab
zindagi ki laDai mein nusrat mili kin maqamat par
aur kahan main ne pai shikast
kis nafas zulmaton ke paDaw mile
kis nafas chahaton ko nadamat mili
kis nafas KHwahishon ke janaze uThe
kis nafas dil jala
kis nafas mere jazbon ki miras gum ho gai
mere ehsas ki ek ek pankhuDi
kis nafas bik gai
nim-shab ki KHamoshi ke jangal mein meri nawa ke parind
aaj pahli dafa
tere maskan ki bojhal fazaon mein mazrub uDte hain
un ka darman sama'at teri ho to ho
main to daman-darida tahi-dast hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.