daman-kashan
Interesting Fact
Paris 15 February 1984
har ik gaam par
ek maddham sī āvāz kahtī hai
ye rāsta
jaanā pahchānā purkhoñ kā chhānā huā rāsta
jāne-pahchāne raste kī āsāniyāñ
un meñ bejā tahaffuz hazar kī tamannā hai
taqlīd kā dām-e-zanjīr hai
apne purkhoñ ke chhāne hue rāste
jin pe ābā-o-ajdād chalte hue
ek manzil pe qarnoñ se qaa.em rahe
in se bach kar guzar
har ek gam par
ek maddham si aawaz kahti hai
ye rasta
jaana pahchana purkhon ka chhana hua rasta
jaane-pahchane raste ki aasaniyan
un mein beja tahaffuz hazar ki tamanna hai
taqlid ka dam-e-zanjir hai
apne purkhon ke chhane hue raste
jin pe aaba-o-ajdad chalte hue
ek manzil pe qarnon se qaem rahe
in se bach kar guzar
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 75)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.