danish-wari
to kyā dānish-varī
sūraj-mukhī kā phuul hotī hai
ki jo bhī zeb-e-mimbar ho
sarīr-ārā-e-masnad ho
ufuq par jo ubhar aa.e
usī kī samt ham dekheñ
sar-e-taslīm ḳham kar ke
musāhib shah ke ban jaa.eñ
to kyā dānish-varī
sūraj-mukhī kā phuul hotī hai
siyāsat ke ufuq kā jab
koī manzar badal jaa.e
qayādat bhī na.ī aa.e
to us ke baad ye socheñ
guzashta daur kaisā thā
avāmī thā ki fasta.ī
nirājī thā ki jamhūrī
hamārā hukmrāñ kyā thā
hamārā taur kaisā thā
hamārā taur kaisā thā
guzashta daur kaisā thā
to kyā dānish-varī
sūraj-mukhī kā phuul hotī hai
to kya danish-wari
suraj-mukhi ka phul hoti hai
ki jo bhi zeb-e-mimbar ho
sarir-ara-e-masnad ho
ufuq par jo ubhar aae
usi ki samt hum dekhen
sar-e-taslim KHam kar ke
musahib shah ke ban jaen
to kya danish-wari
suraj-mukhi ka phul hoti hai
siyasat ke ufuq ka jab
koi manzar badal jae
qayaadat bhi nai aae
to us ke baad ye sochen
guzashta daur kaisa tha
awami tha ki fastai
niraji tha ki jamhuri
hamara hukmran kya tha
hamara taur kaisa tha
hamara taur kaisa tha
guzashta daur kaisa tha
to kya danish-wari
suraj-mukhi ka phul hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.