dar-ul-aman ke darwaze par
mujhe zalzala-zada ilāqe se uThāyā gayā thā
yā shāyad
sailāb-zada ilāqe se
magar merā koī vāris ab is duniyā meñ baaqī nahīñ hai
merī kam-umrī
merī vāhid kafīl hai
aur
achchhī shakl hī ab merī zindagī kī zāmin hai
merī be-libāsī
libās se ziyāda qīmtī aur bā-ma.anī hai
maiñ ne ka.ī baar
adālatoñ meñ peshī ke daurān apne be-āsrā hone kī
duhā.ī dī
magar har baar
mere añgūThe par ḳhāmushī kī siyāhī lagā dī ga.ī
mujhe un mardoñ ke naam yaad nahīñ
jo
mujhe shahr shahr aur gaañv gaañv liye phire
magar mujhe
us aurat kī āñkheñ yaad haiñ
jis ne mujhe dekh kar aañsū bahā.e the
aur
phir yahāñ chhoḌ kar chup-chāp chalī ga.ī thii!
mujhe zalzala-zada ilaqe se uThaya gaya tha
ya shayad
sailab-zada ilaqe se
magar mera koi waris ab is duniya mein baqi nahin hai
meri kam-umri
meri wahid kafil hai
aur
achchhi shakl hi ab meri zindagi ki zamin hai
meri be-libasi
libas se ziyaada qimti aur ba-mani hai
main ne kai bar
adalaton mein peshi ke dauran apne be-asra hone ki
duhai di
magar har bar
mere anguThe par KHamushi ki siyahi laga di gai
mujhe un mardon ke nam yaad nahin
jo
mujhe shahr shahr aur ganw ganw liye phire
magar mujhe
us aurat ki aankhen yaad hain
jis ne mujhe dekh kar aansu bahae the
aur
phir yahan chhoD kar chup-chap chali gai thi!
- Book : Duniyazad (Pg. 162)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.