Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar-ul-makafat

Nazeer Akbarabadi

dar-ul-makafat

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    hai duniyā jis naañv miyāñ ye aur tarah bastī hai

    jo mañhgoñ ko ye mahñgī hai aur sastoñ ko ye sastī hai

    yaañ har-dam jhagḌe uThte haiñ har-ān adālat bastī hai

    gar mast kare to mastī hai aur past kare to pastī hai

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl-parastī hai

    is haath karo us haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    jo aur kisī maan rakhe to us ko bhī armān mile

    jo paan khilā de paan mile jo roTī de to naan mile

    nuqsān kare nuqsān mile ehsān kare ehsān mile

    jo jaisā jis ke saath kare phir vaisā us ko aan mile

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl-parastī hai

    is haath karo us haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    jo aur kisī jaañ baḳhshe to us bhī haq jaan rakhe

    jo aur kisī aan rakhe to us bhī haq aan rakhe

    jo yaañ rahne vaalā hai ye dil meñ apne jaan rakhe

    ye turat-phirat naqsha hai is naqshe ko pahchān rakhe

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl parastī hai

    is haath karo us haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    jo paar utāre auroñ ko us bhī paar utarnī hai

    jo ġharq kare phir us ko bhī Dubkoñ Dubkoñ karnī hai

    shamshīr tabar bandūq sināñ aur nashtar tiir nahrnī hai

    yaañ jaisī jaisī karnī hai phir vaisī vaisī bharnī hai

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl-parastī hai

    is haath karo is haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    jo uupar ūñchā bol kare to us bol bhī baalā hai

    aur de paTke to us ko bhī koī aur paTakne vaalā hai

    be-zulm-o-ḳhatā jis zālim ne mazlūm zabah kar Daalā hai

    us zālim ke bhī lohū phir bahtā naddī-nālā hai

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl-parastī hai

    is haath karo us haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    jo misrī aur ke muñh meñ de phir vo bhī shakkar khātā hai

    jo aur ta.iiñ ab Takkar de phir vo bhī Takkar khātā hai

    jo aur ko Daale chakkar meñ phir vo bhī chakkar khātā hai

    jo aur ko Thokar maar chale phir vo bhī Thokar khātā hai

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl-parastī hai

    is haath karo us haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    jo aur kisī ko nāhaq meñ koī jhūTī baat lagātā hai

    aur koī ġharīb aur bechāra haq nā-haq meñ luT jaatā hai

    vo aap bhī luuTā jaatā hai aur lāThī-pāThī khātā hai

    jo jaisā jaisā kartā hai phir vaisā vaisā paatā hai

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl-parastī hai

    is haath karo us haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    jo aur pagḌī le bhāge us bhī or uchakkā hai

    jo aur pe chaukī biThlāve us par bhī dhoñs-dhaḌakkā hai

    yaañ pushtī meñ to pushtī hai aur dhakke meñ yaañ dhakkā hai

    kyā zor maze jamghaT hai kyā zor ye bhīḌ-bhaḌakkā hai

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl-parastī hai

    is haath karo us haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    hai khaTkā us ke haath lagā jo aur kisī ko de khaTkā

    aur ġhaib se jhaTkā khātā hai jo aur kisī ke de jhaTkā

    chīre ke biich meñ chīrā hai aur paTke biich jo hai paTkā

    kyā kahiye aur 'nazīr' aage hai zor tamāshā jhaT-paTkā

    kuchh der nahīñ andher nahīñ insāf aur adl-parastī hai

    is haath karo us haath mile yaañ saudā dast-ba-dastī hai

    hai duniya jis ka nanw miyan ye aur tarah ki basti hai

    jo manhgon ko ye mahngi hai aur saston ko ye sasti hai

    yan har-dam jhagDe uThte hain har-an adalat basti hai

    gar mast kare to masti hai aur past kare to pasti hai

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai

    is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    jo aur kisi ka man rakhe to us ko bhi arman mile

    jo pan khila de pan mile jo roTi de to nan mile

    nuqsan kare nuqsan mile ehsan kare ehsan mile

    jo jaisa jis ke sath kare phir waisa us ko aan mile

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai

    is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    jo aur kisi ki jaan baKHshe to us ki bhi haq jaan rakhe

    jo aur kisi ki aan rakhe to us ki bhi haq aan rakhe

    jo yan ka rahne wala hai ye dil mein apne jaan rakhe

    ye turat-phirat ka naqsha hai is naqshe ko pahchan rakhe

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl parasti hai

    is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    jo par utare auron ko us ki bhi par utarni hai

    jo gharq kare phir us ko bhi Dubkon Dubkon karni hai

    shamshir tabar banduq sinan aur nashtar tir nahrni hai

    yan jaisi jaisi karni hai phir waisi waisi bharni hai

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai

    is hath karo is hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    jo upar uncha bol kare to us ka bol bhi baala hai

    aur de paTke to us ko bhi koi aur paTakne wala hai

    be-zulm-o-KHata jis zalim ne mazlum zabah kar Dala hai

    us zalim ke bhi lohu ka phir bahta naddi-nala hai

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai

    is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    jo misri aur ke munh mein de phir wo bhi shakkar khata hai

    jo aur tain ab Takkar de phir wo bhi Takkar khata hai

    jo aur ko Dale chakkar mein phir wo bhi chakkar khata hai

    jo aur ko Thokar mar chale phir wo bhi Thokar khata hai

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai

    is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    jo aur kisi ko nahaq mein koi jhuTi baat lagata hai

    aur koi gharib aur bechaara haq na-haq mein luT jata hai

    wo aap bhi luTa jata hai aur laThi-paThi khata hai

    jo jaisa jaisa karta hai phir waisa waisa pata hai

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai

    is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    jo aur ki pagDi le bhage us ka bhi or uchakka hai

    jo aur pe chauki biThlawe us par bhi dhons-dhaDakka hai

    yan pushti mein to pushti hai aur dhakke mein yan dhakka hai

    kya zor maze ka jamghaT hai kya zor ye bhiD-bhaDakka hai

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai

    is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    hai khaTka us ke hath laga jo aur kisi ko de khaTka

    aur ghaib se jhaTka khata hai jo aur kisi ke de jhaTka

    chire ke bich mein chira hai aur paTke bich jo hai paTka

    kya kahiye aur 'nazir' aage hai zor tamasha jhaT-paTka

    kuchh der nahin andher nahin insaf aur adl-parasti hai

    is hath karo us hath mile yan sauda dast-ba-dasti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now