dastan-go
mīr-bāqir-alī
tum ne phir biich meñ dāstāñ rok dī
shāh-e-gul-fām gunjal tilismoñ kī gutthiyoñ ko suljhātā
sarsār jangal ke sho.ala nafas azdahoñ se nimaTtā
bayābān-e-hairat kī be-ant vus.at ko sar kar ke
pahre pe māmūr yak-chashm devoñ kī nazreñ bachā
sabz qile kī ūñchī kagar phāñd kar
mah-jabīñ ke muambar shabistān tak aan pahuñchā hai
aur is taraf haq-o-tāġhūt madd-e-muqābil haiñ
āñkheñ jidhar dekhtī haiñ kulhāḌoñ kī nezoñ kī barchhoñ kī fasleñ khaḌī lahlahātī nazar aa rahī haiñ
jarī sūrmā aamne sāmne hinhināte alif hote ghoḌoñ pe zaanū jamā.e hue muntazir haiñ
abhī tabl par thaap paḌne ko hai
aur idhar shāhzāda tilismī mahal ke hasīñ dūdhiyā burj meñ shāh-zādī ke hajle ke andar
abhī lājvardī chhapar-khaT kā zar-baft parda uThā hī rahā hai
magar mīr-bāqir-alī tum ne phir biich meñ dāstāñ rok dī
rāhdārī munaqqash dar-o-bām sat-rang qālīn billor qindīl favvāra barbat sunātā
jharokoñ pe lahrāte pardoñ kī qaus-e-quzah
memana maysara qalb saaqa jināh
āhanī ḳhuud se jhāñktī murta.ish putliyāñ
razm-gah kī kaḌī dhuup meñ ek sākit pharerā
chhapar-khaT pe soī huī shāh-zādī ke pairoñ pe mehñdī kī beleñ
fasāhat ke dariyā bahāte chale jā rahe ho
balāġhat ke motī luTāte chale jā rahe ho
magar mīr-bāqir-alī dāstāñ-go suno
dāstāñ sunñe vaale to sadiyāñ huiiñ uTh ke jā bhī chuke haiñ
tum apne tilismātī qisse ke pur-pech tāgoñ meñ aise lipaTte ga.e ho
ki tum ko ḳhabar hī nahīñ
sāmne vaalī nukkaḌ pe ik aane kī biscope aa ga.ī hai
mir-baqir-ali
tum ne phir bich mein dastan rok di
shah-e-gul-fam gunjal tilismon ki gutthiyon ko suljhata
sarsar jangal ke shoala nafas azdahon se nimaTta
bayaban-e-hairat ki be-ant wusat ko sar kar ke
pahre pe mamur yak-chashm dewon ki nazren bacha
sabz qile ki unchi kagar phand kar
mah-jabin ke muambar shabistan tak aan pahuncha hai
aur is taraf haq-o-taghut madd-e-muqabil hain
aankhen jidhar dekhti hain kulhaDon ki nezon ki barchhon ki faslen khaDi lahlahati nazar aa rahi hain
jari surma aamne samne hinhinate alif hote ghoDon pe zanu jamae hue muntazir hain
abhi tabl par thap paDne ko hai
aur idhar shahzada tilismi mahal ke hasin dudhiya burj mein shah-zadi ke hajle ke andar
abhi lajwardi chhapar-khaT ka zar-baft parda uTha hi raha hai
magar mir-baqir-ali tum ne phir bich mein dastan rok di
rahdari munaqqash dar-o-baam sat-rang qalin billor qindil fawwara barbat sunata
jharokon pe lahraate pardon ki qaus-e-quzah
memana maysara qalb saqa jinah
aahani KHud se jhankti murtaish putliyan
razm-gah ki kaDi dhup mein ek sakit pharera
chhapar-khaT pe soi hui shah-zadi ke pairon pe mehndi ki belen
fasahat ke dariya bahate chale ja rahe ho
balaghat ke moti luTate chale ja rahe ho
magar mir-baqir-ali dastan-go suno
dastan sunne wale to sadiyan huin uTh ke ja bhi chuke hain
tum apne tilismati qisse ke pur-pech tagon mein aise lipaTte gae ho
ki tum ko KHabar hi nahin
samne wali nukkaD pe ek aane ki biscope aa gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.