dawat-e-amal
tū samajhtā hai jise manzil-e-īsār-o-amal
vo abhī tishna-e-takmīl-e-safar hai ai dost
jis pe chalte hue ik umr-e-safar guzrī hai
sāmne phir bhī vahī rāhguzar hai ai dost
nuur kyā nuur kā partav bhī nahīñ hai is meñ
shab-e-tārīk ba-unvān-e-sahar hai ai dost
laakh chehroñ pe numāyāñ hoñ masarrat ke nuqūsh
zindagī ġham-kada-e-qalb-o-nazar hai ai dost
ho vahāñ qadr-e-javāhir kā kise fikr-o-ḳhayāl
sang-rezoñ kā jahāñ naam guhar hai ai dost
chār-sū chaak hai aadam kī qabā-e-ismat
har bashar dushman-e-taqdīs-e-bashar hai ai dost
koī sūrat nahīñ ārām-e-nasheman kī nasīb
kāmrāñ silsila-e-barq-o-sharar hai ai dost
nasl-e-insāñ ko milīñ jis se nishānāt-e-urūj
un maqāmāt kī ab kis ko ḳhabar hai ai dost
kāġhazī phūloñ meñ ḳhushbū kā yaqīñ hai tujh ko
apnī pastī kā kuchh ehsās nahīñ hai tujh ko
tu samajhta hai jise manzil-e-isar-o-amal
wo abhi tishna-e-takmil-e-safar hai ai dost
jis pe chalte hue ek umr-e-safar guzri hai
samne phir bhi wahi rahguzar hai ai dost
nur kya nur ka partaw bhi nahin hai is mein
shab-e-tarik ba-unwan-e-sahar hai ai dost
lakh chehron pe numayan hon masarrat ke nuqush
zindagi gham-kada-e-qalb-o-nazar hai ai dost
ho wahan qadr-e-jawahir ka kise fikr-o-KHayal
sang-rezon ka jahan nam guhar hai ai dost
chaar-su chaak hai aadam ki qaba-e-ismat
har bashar dushman-e-taqdis-e-bashar hai ai dost
koi surat nahin aaram-e-nasheman ki nasib
kaamran silsila-e-barq-o-sharar hai ai dost
nasl-e-insan ko milin jis se nishanat-e-uruj
un maqamat ki ab kis ko KHabar hai ai dost
kaghazi phulon mein KHushbu ka yaqin hai tujh ko
apni pasti ka kuchh ehsas nahin hai tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.