dawat-e-fareb
tum mujhe ḳhāmosh dekh
kyoñ ghabrātī ho
mere halaq meñ girte qatre
ek din motī baneñge
unheñ tere qadmoñ meñ parosne chalā ā.ūñgā
tum lamha bhar ko muskurā denā
sāñseñ bojhal kar
palkeñ jhukā denā
tū to jāntī hai
mujhe fareb se mohabbat hai
tum mujhe KHamosh dekh
kyon ghabraati ho
mere halaq mein girte qatre
ek din moti banenge
unhen tere qadmon mein parosne chala aaunga
tum lamha bhar ko muskura dena
sansen bojhal kar
palken jhuka dena
tu to jaanti hai
mujhe fareb se mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.