dawat-e-inqilab
insāniyat kā az-sar-e-nau haq adā kareñ
phir bāb-e-inqalāb-e-vatan aaj vā kareñ
uTh halqa-e-farang kī har saf ko toḌ kar
phir hurriyat ko dām-e-ḳhirad se rihā kareñ
kuchh rah ga.iiñ ragoñ meñ haiñ būñdeñ jo ḳhuun kī
mehrāb-e-amn-e-hind pe chal kar fidā kareñ
barsā.eñ inqalāb kī paiham vo bārisheñ
rangīn aaj chehra-e-mauj-e-sabā kareñ
phir ġharq kar ke maz.hab-e-nau kī har ek shai
is hind-e-bad-nasīb ke haq meñ duā kareñ
har shai hai inqalāb ke qadmoñ pe sajda-rez
aise meñ ham namāz-e-baġhāvat qazā kareñ
insaniyat ka az-sar-e-nau haq ada karen
phir bab-e-inqalab-e-watan aaj wa karen
uTh halqa-e-farang ki har saf ko toD kar
phir hurriyat ko dam-e-KHirad se riha karen
kuchh rah gain ragon mein hain bunden jo KHun ki
mehrab-e-amn-e-hind pe chal kar fida karen
barsaen inqalab ki paiham wo barishen
rangin aaj chehra-e-mauj-e-saba karen
phir gharq kar ke mazhab-e-nau ki har ek shai
is hind-e-bad-nasib ke haq mein dua karen
har shai hai inqalab ke qadmon pe sajda-rez
aise mein hum namaz-e-baghawat qaza karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.