da’wat-e-nagawar
mujh ko daulat kī khanak na sunā ai dost
mere kānoñ ko is āvāz se nafrat hai
rah-rah ke khaTaktī hai āñkhoñ meñ merī
ye jo terī numā.ish-e-māl-o-hashmat hai
hai ḳhuub terī ḳhātir-dārī aur tavāzo'
mai-e-gulfām ke jaam chhalakte haiñ har-sū
'itr-āgīñ hai saarā māhaul magar dost
aa.e na kahīñ se bhī kuchh iḳhlās kī bū
jaam uThātā huuñ to kaañp uThte haiñ haath
ho koī lahū se labrez piyāla jaise
lazzat-āmez kabāb utreñ na halaq se
bhūke muñh se chhīn liyā ho nivāla jaise
ye mu'azzaz mehmāñ ye masnū'ī muskāneñ
har mad'ū se hai tujhe kuchh matlab dost
ye mehmāñ-dārī to mahaz ik zarī'ā hai
kām-ravā.ī hai terā maqsad ai dost
ye shaffāf bilaurī paimāne aur kanTar
merī nazroñ meñ in kī qīmat kuchh bhī nahīñ
mujh ko raas aa.e miTTī kā piyāla dost
mere liye jām-e-jam kī 'azmat kuchh bhī nahīñ
merā dam ghuTtā hai is bazm-e-tarab meñ
mujh ko jaane de tū takrār na kar ai dost
maslahat-āmez mudārāt mujhe raas nahīñ
merī shirkat pe isrār na kar ai dost
mujh ko daulat ki khanak na suna ai dost
mere kanon ko is aawaz se nafrat hai
rah-rah ke khaTakti hai aankhon mein meri
ye jo teri numaish-e-mal-o-hashmat hai
hai KHub teri KHatir-dari aur tawazo'
mai-e-gulfam ke jam chhalakte hain har-su
'itr-agin hai sara mahaul magar dost
aae na kahin se bhi kuchh iKHlas ki bu
jam uThata hun to kanp uThte hain hath
ho koi lahu se labrez piyala jaise
lazzat-amez kabab utren na halaq se
bhuke munh se chhin liya ho niwala jaise
ye mu'azzaz mehman ye masnu'i muskanen
har mad'u se hai tujhe kuchh matlab dost
ye mehman-dari to mahaz ek zari'a hai
kaam-rawai hai tera maqsad ai dost
ye shaffaf bilauri paimane aur kanTar
meri nazron mein in ki qimat kuchh bhi nahin
mujh ko ras aae miTTi ka piyala dost
mere liye jam-e-jam ki 'azmat kuchh bhi nahin
mera dam ghuTta hai is bazm-e-tarab mein
mujh ko jaane de tu takrar na kar ai dost
maslahat-amez mudaraat mujhe ras nahin
meri shirkat pe israr na kar ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.