dawat
magar masrūfiyat itnī
ki fursat hī nahīñ miltī thī
tujh se baat karne kī
magar sad-shukr
mujh ko āj-kal fursat hī fursat hai
karūñ kyā ek muddat se
miirī ḳhvāhish hai hasrat hai
ki tujh se guftugū hotī
so ab aa jā kisī bhī din
kisī bhī vaqt
terā dil jahāñ chāhe
kisī jangal meñ chashme ke kināre
kisī parbat kisī sahrā
kisī gulshan meñ
vīrāne meñ bastī meñ
hujūm-e-kaif-o-mastī meñ
jahāñ bhī terā dil chāhe
nahīñ hargiz maiñ is qābil
magar phir bhī yahī kahtā hai merā dil
ai ḳhudā-e-lam-yazal
kahīñ ik baar mujh se mil
kahīñ ik baar mujh se mil
magar masrufiyat itni
ki fursat hi nahin milti thi
tujh se baat karne ki
magar sad-shukr
mujh ko aaj-kal fursat hi fursat hai
karun kya ek muddat se
meri KHwahish hai hasrat hai
ki tujh se guftugu hoti
so ab aa ja kisi bhi din
kisi bhi waqt
tera dil jahan chahe
kisi jangal mein chashme ke kinare
kisi parbat kisi sahra
kisi gulshan mein
virane mein basti mein
hujum-e-kaif-o-masti mein
jahan bhi tera dil chahe
nahin hargiz main is qabil
magar phir bhi yahi kahta hai mera dil
ai KHuda-e-lam-yazal
kahin ek bar mujh se mil
kahin ek bar mujh se mil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.