daftar kahani
roz hī mere jaise hazāroñ
mashaqqat bharī aag pī ke yahī sochte haiñ
ki ahdāf kā ye parinda kabhī haath aayā nahīñ
dūsroñ se kahīñ tez dauḌe haiñ lekin kabhī referē ne
hamāre liye jiit kā shādiyāna bajāyā nahīñ
kis liye daftaroñ meñ hamārī zamīñ par gul-e-mehrbānī
khile hī nahīñ
ya.anī darbār meñ har koī tund-ḳhūī se dekhe hameñ
ab to circus ke ye būzne bhī hameñ koī kartab sikhāne ko tayyār haiñ
un ko ġhībat se murdār khāne kī aadat purānī sahī
chāplūsī zamāne kī aadat sahī
vo nahīñ jānte ki agar khet tar pe aa.eñ to be-mausmī ghaas ugne lage
vo nahīñ jānte ki ḳhudā kī zamīñ dekh kar to badan se utarte haiñ mere
ye peḌāñ, ye atharv ye hānvāñ te haaḌe
unheñ to zabāñ se kisī dūsre ke rag-o-pai meñ bas apnā bish gholnā hai
kisī dūsre kī sadāqat pe taalā lagā ke
ḳhud apne liye jhuuT kā ek adnā jahāñ kholnā hai
purānī kahāvat meñ kāran the chālāk lomḌī jañgal ke sheroñ kī barbādiyoñ ke
magar daftarī dāstāñ ye alag hai ki
mardum-shanāsī ke māhir hameñ apnī sargoshiyoñ meñ to bāġhī qabīloñ ke sag mānte haiñ
magar vus.atoñ ke parinde hameñ apne taḳh.īl ke bāl-o-par mānte haiñ
ki bārah mahīnoñ kī ye jañg to masḳhare jiit hī jā.eñge
aur ham bhī na.ī aag piine ko jigarā nayā lā.eñge
roz hi mere jaise hazaron
mashaqqat bhari aag pi ke yahi sochte hain
ki ahdaf ka ye parinda kabhi hath aaya nahin
dusron se kahin tez dauDe hain lekin kabhi referee ne
hamare liye jit ka shadiyana bajaya nahin
kis liye daftaron mein hamari zamin par gul-e-mehrbani
khile hi nahin
yani darbar mein har koi tund-KHui se dekhe hamein
ab to circus ke ye buzne bhi hamein koi kartab sikhane ko tayyar hain
un ko ghibat se murdar khane ki aadat purani sahi
chaplusi zamane ki aadat sahi
wo nahin jaante ki agar khet tar pe aaen to be-mausmi ghas ugne lage
wo nahin jaante ki KHuda ki zamin dekh kar to badan se utarte hain mere
ye peDan, ye atharw ye hanwan te haDe
unhen to zaban se kisi dusre ke rag-o-pai mein bas apna bish gholna hai
kisi dusre ki sadaqat pe tala laga ke
KHud apne liye jhuT ka ek adna jahan kholna hai
purani kahawat mein karan the chaalak lomDi jangal ke sheron ki barbaadiyon ke
magar daftari dastan ye alag hai ki
mardum-shanasi ke mahir hamein apni sargoshiyon mein to baghi qabilon ke sag mante hain
magar wusaton ke parinde hamein apne taKHil ke baal-o-par mante hain
ki barah mahinon ki ye jang to masKHare jit hi jaenge
aur hum bhi nai aag pine ko jigara naya laenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.