daldal
kasmasātī huī
reñgtī
aur bal khaa.e
baḌhtī huī
koī daldal
lapeTe hue hai
merī gardan pe bāloñ pe
kīchaḌ ke chhīñTe
mire muñh meñ
na saaf paanī kā gadlā kasīlā maza hai
haath TuuTe hue chappuoñ kī tarah
merī nazroñ meñ haiñ
nuqra.ī āsmāñ
aur kirnoñ ke jharne
ḳhalāoñ meñ uljhe hue chāñd taare
daraḳhtoñ ke maġhrūr qad
aur bebāk baazū
subuk jism
sākit pahāḌoñ kī bahtī huī symphony
aur maujoñ kā āhang
lamhoñ kī uryāniyāñ
dāv’at-e-sang
zarroñ ke mub.ham ishāre
muntazir ik jahāñ
lekin is
gāḌhī daldal ke dariyā meñ
hai kaun rahvār merā
yahāñ kaun ham-rāz hai
mere dāmānda lāġhar badan ke sivā
ek TuuTā safīna
phaTe bādbāñ
kasmasati hui
rengti
aur bal khae
baDhti hui
koi daldal
lapeTe hue hai
meri gardan pe baalon pe
kichaD ke chhinTe
mere munh mein
na saf pani ka gadla kasila maza hai
hath TuTe hue chappuon ki tarah
meri nazron mein hain
nuqrai aasman
aur kirnon ke jharne
KHalaon mein uljhe hue chand tare
daraKHton ke maghrur qad
aur bebak bazu
subuk jism
sakit pahaDon ki bahti hui symphony
aur maujon ka aahang
lamhon ki uryaniyan
daw’at-e-sang
zarron ke mubham ishaare
muntazir ek jahan
lekin is
gaDhi daldal ke dariya mein
hai kaun rahwar mera
yahan kaun ham-raaz hai
mere damanda laghar badan ke siwa
ek TuTa safina
phaTe baadban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.