daldal
mirā zehn bantā chalā jā rahā hai ḳhayālāt-e-fāsid kī daldal
ki mahsūs hone lagā hai
mirī zindagī meñ rahegī hamesha havas kār-farmā
ho sarmā ki garmā
kabhī pyaas bujhtī nahīñ hai
piyūñ jitnī mai
fusūn-e-mulāqāt hai bā.is-e-be-qarārī
junūn-e-mulāqāt rahtā hai taarī
ki aksar mulāqāt hotī hai lekin mulāqāt ko jī tarastā hai paiham
ka.ī baar is kaifiyat par hañsā huuñ
hai ye kaisī daldal ki jis meñ phañsā huuñ
ubhartā huuñ maiñ is kī gahrā.ī se bhī
magar jaise phir Duub jaane kī ḳhātir
ġhazab hai havas kā ye kas-bal
mirā zehn bantā chalā jā rahā hai ḳhayālāt-e-fāsid kī daldal
mera zehn banta chala ja raha hai KHayalat-e-fasid ki daldal
ki mahsus hone laga hai
meri zindagi mein rahegi hamesha hawas kar-farma
ho sarma ki garma
kabhi pyas bujhti nahin hai
piyun jitni mai
fusun-e-mulaqat hai bais-e-be-qarari
junun-e-mulaqat rahta hai tari
ki aksar mulaqat hoti hai lekin mulaqat ko ji tarasta hai paiham
kai bar is kaifiyat par hansa hun
hai ye kaisi daldal ki jis mein phansa hun
ubharta hun main is ki gahrai se bhi
magar jaise phir Dub jaane ki KHatir
ghazab hai hawas ka ye kas-bal
mera zehn banta chala ja raha hai KHayalat-e-fasid ki daldal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.