dam-e-wapsin
mire nafs kī vādiyoñ meñ yahāñ se nikal chalne jaisī havā chal rahī hai
ufuq-tā-ufuq ik mahaktā dhuāñ hai
sadā zā.iqe rañg aur lams ḳhushbū meñ tahlīl hone lage haiñ
mah-o-sāl-e-rafta shab-o-roz-e-ā.inda lamhe meñ tabdīl hone lage haiñ
zamāñ ek sakta
makāñ ek nuqta
lakīreñ adad harf saare
nam-ālūd kāġhaz kī tarkīb meñ ghul rahe haiñ
qabā-e-badan sarsarātī hai asrār-e-jañ zer-e-band-e-qabā khul rahe haiñ
koī sarmadī lau sī uTThī hai jis se fazā jal rahī hai
havā chal rahī hai
mere nafs ki wadiyon mein yahan se nikal chalne jaisi hawa chal rahi hai
ufuq-ta-ufuq ek mahakta dhuan hai
sada zaiqe rang aur lams KHushbu mein tahlil hone lage hain
mah-o-sal-e-rafta shab-o-roz-e-ainda lamhe mein tabdil hone lage hain
zaman ek sakta
makan ek nuqta
lakiren adad harf sare
nam-alud kaghaz ki tarkib mein ghul rahe hain
qaba-e-badan sarsaraati hai asrar-e-jan zer-e-band-e-qaba khul rahe hain
koi sarmadi lau si uTThi hai jis se faza jal rahi hai
hawa chal rahi hai
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.