dam toDti hui sansen
aTuuT rishtoñ ke
saare bandhan
shikasta sochoñ ke dā.eroñ meñ
simaT ga.e haiñ
ham apnī rah se bhī haT ga.e haiñ
sukūn-e-qalb-o-nazar kī ḳhātir
ham apnī apnī masāfatoñ kī
talāsh meñ haiñ
magar ye shahr-e-anā jo ham ko
aziyyateñ-dar-aziyyateñ de
qarār chhīne sukūn luuTe
hamesha nafrat kī āriyoñ se
hamārī shah-rag ko kāTtā hai
hamāre sīnoñ meñ zaḳhm bo.e ga.e haiñ itne
ki jin kī shiddat se kaañp uTThā
vajūd saarā
ham itne ghaav chhupā.e dil meñ
na jaane kaise
dukhoñ se apne
badan ko Dhāñpe
azaab mausam meñ
jī rahe haiñ
aTuT rishton ke
sare bandhan
shikasta sochon ke daeron mein
simaT gae hain
hum apni rah se bhi haT gae hain
sukun-e-qalb-o-nazar ki KHatir
hum apni apni masafaton ki
talash mein hain
magar ye shahr-e-ana jo hum ko
aziyyaten-dar-aziyyaten de
qarar chhine sukun luTe
hamesha nafrat ki aariyon se
hamari shah-rag ko kaTta hai
hamare sinon mein zaKHm boe gae hain itne
ki jin ki shiddat se kanp uTTha
wajud sara
hum itne ghaw chhupae dil mein
na jaane kaise
dukhon se apne
badan ko Dhanpe
azab mausam mein
ji rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.