dar band kar diya
ġhurūb hote sūraj kī
sunahrī kirneñ
yuuñ lagā ke mahv-e-kalām haiñ
savāl kar rahī haiñ
bhulā sakogī
lahjoñ ke tamām nashtar
dhoke meñ lipTī huī mohabbateñ
munāfiqat kā labāda oḌhe
fareb ke vo tamām ḳhanjar
jo dil kī shaffāf taḳhtī
reza-reza kar chuke haiñ
kahāñ pe darj hai
ki mahv huuñ
shān-e-nasab ke sadqe
izzatoñ kī dastār
merī peshānī ko raushan rakhe hue hai
bāġh-e-ulfat kī
hasīñ vaadī meñ
merī pasand ke phuul khile haiñ
maiñ bhuul chukī huuñ
uljhanoñ ke tamām silsile
sāzishoñ ke bichhā.e jaal
vo saare raste
jo terī jānib nikalte the
nihāyat sahl thā
kuchh bhī dushvār hargiz nahīñ thā
faqat ik qahqaha lagāyā
terī jānib jo khultā thā
vo dar band kar diyā
ghurub hote suraj ki
sunahri kirnen
yun laga ke mahw-e-kalam hain
sawal kar rahi hain
bhula sakogi
lahjon ke tamam nashtar
dhoke mein lipTi hui mohabbaten
munafiqat ka labaada oDhe
fareb ke wo tamam KHanjar
jo dil ki shaffaf taKHti
reza-reza kar chuke hain
kahan pe darj hai
ki mahw hun
shan-e-nasab ke sadqe
izzaton ki dastar
meri peshani ko raushan rakhe hue hai
bagh-e-ulfat ki
hasin wadi mein
meri pasand ke phul khile hain
main bhul chuki hun
uljhanon ke tamam silsile
sazishon ke bichhae jal
wo sare raste
jo teri jaanib nikalte the
nihayat sahl tha
kuchh bhi dushwar hargiz nahin tha
faqat ek qahqaha lagaya
teri jaanib jo khulta tha
wo dar band kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.