dar-e-umid ke daryuza-gar
phir phurere ban ke mere tan-badan kī dhajjiyāñ
shahr ke dīvār-o-dar ko rañg pahnāne lagīñ
phir kaf-ālūda zabāneñ mad.h o zam kī qumchiyāñ
mere zehn o gosh ke zaḳhmoñ pe barsāne lagīñ
phir nikal aa.e havasnākoñ ke raqsāñ tā.ife
dardmañd-e-ishq par ThaTThe lagāne ke liye
phir duhal karne lage tashhīr-e-iḳhlās-o-vafā
kushta-e-sidq-o-safā kā dil jalāne ke liye
ham ki haiñ kab se dar-e-ummīd ke daryūza-gar
ye ghaḌī guzrī to phir dast-e-talab phailā.eñge
kūcha o bāzār se phir chun ke reza reza ḳhvāb
ham yūñhī pahle kī sūrat joḌne lag jā.eñge
phir phurere ban ke mere tan-badan ki dhajjiyan
shahr ke diwar-o-dar ko rang pahnane lagin
phir kaf-aluda zabanen madh o zam ki qumchiyan
mere zehn o gosh ke zaKHmon pe barsane lagin
phir nikal aae hawasnakon ke raqsan taife
dardmand-e-ishq par ThaTThe lagane ke liye
phir duhal karne lage tashhir-e-iKHlas-o-wafa
kushta-e-sidq-o-safa ka dil jalane ke liye
hum ki hain kab se dar-e-ummid ke daryuza-gar
ye ghaDi guzri to phir dast-e-talab phailaenge
kucha o bazar se phir chun ke reza reza KHwab
hum yunhi pahle ki surat joDne lag jaenge
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 555)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.