Dar lagta hai
chaurāhe par board lagā hai
beTī bachāo beTī paḌhāo
lekin Thiik usī ke aage
chand darinde khaḌe hue haiñ
aatī jaatī har titlī ke par ko takte
rang se ḳhā.if
chāhte haiñ ki har titlī ke par ko nocheñ
rang uḌā deñ
shāyad un ko 'ilm nahīñ ki
rang ye saare
maañ aur baap kī barsoñ kī mehnat kā samra
barsoñ kī kāvish kā natīja hote haiñ
lekin ye ehsās hī kab hai darindoñ ko
kaise maañ aur baap ne rang chune haiñ saare
naqsh banā.e
aur ‘ilm-o-dānish kī rāhoñ par chhoḌā hai
apnī chanchal aur matvālī titlī ko
par phailāne
taaki un ke rang tamām nikharte jaa.eñ
phir bhī aksar Dar lagtā hai
ye ‘ilm-o-dānish ke raste
kis darja pur-ḳhauf-o-ḳhatar haiñ
har lamha luTne kā Dar hai
hālāñki chaurāhe par haiñ chand muhāfiz
nazar jamā.e
half uThā.e
dhaak biThā.e
lekin phir bhī Dar lagtā hai
shaam Dhale chaurāhe ke ye chand muhāfiz
merī chanchal titlī ke ye kaTe phaTe par
uḌe hue rang
mere darvāze ke aage Daal na jaa.eñ
chaurahe par board laga hai
beTi bachao beTi paDhao
lekin Thik usi ke aage
chand darinde khaDe hue hain
aati jati har titli ke par ko takte
rang se KHaif
chahte hain ki har titli ke par ko nochen
rang uDa den
shayad un ko 'ilm nahin ki
rang ye sare
man aur bap ki barson ki mehnat ka samra
barson ki kawish ka natija hote hain
lekin ye ehsas hi kab hai darindon ko
kaise man aur bap ne rang chune hain sare
naqsh banae
aur ‘ilm-o-danish ki rahon par chhoDa hai
apni chanchal aur matwali titli ko
par phailane
taki un ke rang tamam nikharte jaen
phir bhi aksar Dar lagta hai
ye ‘ilm-o-danish ke raste
kis darja pur-KHauf-o-KHatar hain
har lamha luTne ka Dar hai
haalanki chaurahe par hain chand muhafiz
nazar jamae
half uThae
dhak biThae
lekin phir bhi Dar lagta hai
sham Dhale chaurahe ke ye chand muhafiz
meri chanchal titli ke ye kaTe phaTe par
uDe hue rang
mere darwaze ke aage Dal na jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.