Dar
kaise niklegā jīte-jī dil se Dar kā kā sāhib
kab ḳhauf kī vahshī galiyoñ meñ bhaTkī huī saa.at lauTegī?
kab andeshoñ ke saañp mire peḌoñ se lipaTnā chhoḌeñge?
sahme hue shabdoñ ko apne siine se lagā.e baiThī huuñ
kaise batlā.ūñ kyuuñ mujh ko din ke zahrīle hāthoñ se!
shāmoñ ke surḳh āseboñ se, rātoñ kī be-dil āñkhoñ se!
aur aas ke āThoñ pahroñ se!
Dar lagtā hai
ḳhvāboñ ke ran meñ paḌe hue ḳhvāhish ke adhūre jismoñ se
aur maan kī ruuh meñ gaḌe hue tar panjoñ se
jānī-pahchānī āñkhoñ meñ pinhāñ an-jānī vahshat se
rishtoñ ke mazbah-ḳhānoñ se
bandhan kī zinda lāshoñ se
Dar lagtā hai
is jism kī dīvāroñ meñ hai Dar kā ḳhasta gaarā sāhib
shīshe meñ raqsāñ sāyoñ se, sāñsoñ aur āvāzoñ se
pal pal meñ badalte rañgoñ se! Dar lagtā hai
.........ñiilī paḌ jaatī huuñ sāhib
chehre kī piilī rañgat ko kab tak maiñ chhupā.ūñ ġhāze meñ?
kaise niklega jite-ji dil se Dar ka ka sahib
kab KHauf ki wahshi galiyon mein bhaTki hui saat lauTegi?
kab andeshon ke sanp mere peDon se lipaTna chhoDenge?
sahme hue shabdon ko apne sine se lagae baiThi hun
kaise batlaun kyun mujh ko din ke zahrile hathon se!
shamon ke surKH aasebon se, raaton ki be-dil aankhon se!
aur aas ke aaThon pahron se!
Dar lagta hai
KHwabon ke ran mein paDe hue KHwahish ke adhure jismon se
aur man ki ruh mein gaDe hue tar panjon se
jaani-pahchani aankhon mein pinhan an-jaani wahshat se
rishton ke mazbah-KHanon se
bandhan ki zinda lashon se
Dar lagta hai
is jism ki diwaron mein hai Dar ka KHasta gara sahib
shishe mein raqsan sayon se, sanson aur aawazon se
pal pal mein badalte rangon se! Dar lagta hai
nili paD jati hun sahib
chehre ki pili rangat ko kab tak main chhupaun ghaze mein?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.