Dar
phaTī phaTī sī nigāhoñ se tak rahe the sabhī
naseñ tanī thiiñ rag-e-jāñ phaḌak rahī thī
achānak diloñ kī dhaḌkaneñ
sar meñ dhamakne lagtī thiiñ
qutub-numā na koī bād-numā aur na murġh-e-bād-numā
havā.eñ āñdhiyāñ tūfān barf-o-bārāñ
tamām ahl-e-sifat ashk-shoī karte rahe
vo 'ārifāna tajāhul
du'ā-e-ḳhair
ḳhud-kushī thī ki dānista iḳhtināq ab kise mā'lūm
batā rahā hai magar aaj kā āsār farosh
sabhī ko ḳhauf thā ifshā-e-rāz kā varna
añdherā dhul jaatā
pukārtā koī sim-sim
to dar bhī khul jaatā
phaTi phaTi si nigahon se tak rahe the sabhi
nasen tani thin rag-e-jaan phaDak rahi thi
achanak dilon ki dhaDkanen
sar mein dhamakne lagti thin
qutub-numa na koi baad-numa aur na murgh-e-baad-numa
hawaen aandhiyan tufan barf-o-baran
tamam ahl-e-sifat ashk-shoi karte rahe
wo 'arifana tajahul
du'a-e-KHair
KHud-kushi thi ki danista iKHtinaq ab kise ma'lum
bata raha hai magar aaj ka aasar farosh
sabhi ko KHauf tha ifsha-e-raaz ka warna
andhera dhul jata
pukarta koi sim-sim
to dar bhi khul jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.