Dar
ye Dar jo saath chaltā hai
mirī maañ kī amānat hai
maiñ jab chhoTī sī bachchī thī
to merī maañ ne
is Dar ko mire dil ke
kisī sunsān goshe meñ
baḌī mushkil se Daalā thā
vo kahtī thī
ki maiñ tanhā kahīñ bāhar na jā.ūñ
kyuuñ na jā.ūñ
bahs kartī maiñ
vahāñ par bheḌiye phirte haiñ
insānoñ kī sūrat meñ
maiñ us kī baat sun kar
dil meñ hans paḌtī
vo kahtī thī
dupaTTa sar pe luuñ
apnī nigāheñ nīchī rakkhūñ
aur
har ik hukm par sar ko jhukā.ūñ
aur maiñ kahtī
sarāsar buzdilī hai ye
vo kahtī
haañ to buzdil laḌkiyāñ hī shaad rahtī haiñ
sadā ābād rahtī haiñ
hamesha shaad rahnā thā
sadā ābād rahnā thā
so maiñ ne apnī maañ kī is amānat ko
sadā āñchal se apne bāñdh kar rakkhā
ye Dar jo sath chalta hai
meri man ki amanat hai
main jab chhoTi si bachchi thi
to meri man ne
is Dar ko mere dil ke
kisi sunsan goshe mein
baDi mushkil se Dala tha
wo kahti thi
ki main tanha kahin bahar na jaun
kyun na jaun
bahs karti main
wahan par bheDiye phirte hain
insanon ki surat mein
main us ki baat sun kar
dil mein hans paDti
wo kahti thi
dupaTTa sar pe lun
apni nigahen nichi rakkhun
aur
har ek hukm par sar ko jhukaun
aur main kahti
sarasar buzdili hai ye
wo kahti
han to buzdil laDkiyan hi shad rahti hain
sada aabaad rahti hain
hamesha shad rahna tha
sada aabaad rahna tha
so main ne apni man ki is amanat ko
sada aanchal se apne bandh kar rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.