Daracula
kamre kī dīvār toḌ kar mere sāmne aayā thā
apnā siina chiir ke mujh ko apnā ḳhuun pilāyā thā
chamgādaḌ sā uḌā khulī khiḌkī se bāhar pahuñchā thā
aañkh se ojhal huā nahīñ aur mere andar pahuñchā thā
us ke liye maiñ roz raat ko ḳhuun chuus kar laatā huuñ
kamre ki diwar toD kar mere samne aaya tha
apna sina chir ke mujh ko apna KHun pilaya tha
chamgadaD sa uDa khuli khiDki se bahar pahuncha tha
aankh se ojhal hua nahin aur mere andar pahuncha tha
us ke liye main roz raat ko KHun chus kar lata hun
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 142)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.