daraKHt-e-zard
Interesting Fact
John Eliya once saw his only son, Zariyun, now a teenage boy. John did not recognize him at all. And even though his son recognized him, he did not show any special affection towards him. John was heartbroken, and that night he shed tears and wrote his Nazm, 'Darakht-e-Zard'. John had written the poem and kept it with him and never told anyone. Then he called me and told me that he wanted to recite a poem to me. In the back of this desolate and broken room, upon John's bed, he first told me the background of this poem and then he started reciting this poem. His condition was such that he used to weep and recite the poem. John would have shed more tears in reciting this poem than there were words in this long poem. His health deteriorated during this time. He gasped as he talked, and his breath began to swell as he read along. He was suffering from severe nervous weakness. One day I read in the newspaper that John had died in the hospital last night. Going through a thousand thorny twists and turns, the story of his life finally came to an end. John fought and killed himself all his life. And in that state of gloom, he left the world. I see him talking to his son Zariyun in his very unique and wonderful poem 'Darakht-e-Zard'. Derived from Anwar Ahsan Siddiqui's book "Dil-e-Pur Khuun kii ik Gulabi"
nahīñ ma.alūm 'zaryūn' ab tumhārī umr kyā hogī
vo kin ḳhvāboñ se jaane āshnā nā-āshnā hogī
tumhāre dil ke is duniyā se kaise silsile hoñge
tumheñ kaise gumāñ hoñge tumheñ kaise gile hoñge
tumhārī sub.h jaane kin ḳhayāloñ se nahātī ho
tumhārī shaam jaane kin malāloñ se nibhātī ho
na jaane kaun doshīza tumhārī zindagī hogī
na jaane us kī kyā bāyastagī shā.istagī hogī
use tum phone karte aur ḳhat likhte rahe hoge
na jaane tum ne kitnī kam ġhalat urdu likhī hogī
ye ḳhat likhnā to daqyānūs kī pīḌhī kā qissa hai
ye sinf-e-nasr ham nā-bāliġhoñ ke fan kā hissa hai
vo hañstī ho to shāyad tum na rah paate ho hāloñ meñ
gaḌhā nanhā sā paḌ jaatā ho shāyad us ke gāloñ meñ
gumāñ ye hai tumhārī bhī rasā.ī nā-rasā.ī ho
vo aa.ī ho tumhāre paas lekin aa na paa.ī ho
vo shāyad mā.ide kī gand biryānī na khātī ho
vo nān-e-be-ḳhamīr-e-maida kam-tar hī chabātī ho
vo doshīza bhī shāyad dāstānoñ kī ho dil-dāda
use ma.alūm hogā 'zāl' thā 'sohrāb' kā daadā
tahamtan ya.anī 'rustam' thā girāmī 'sām' kā vāris
girāmī 'sām' thā sulb-e-nar-e-'mānī' kā ḳhush-zāda
(ye merī ek ḳhvāhish hai jo mushkil hai)
vo 'najm'-āfañdi-e-marhūm ko to jāntī hogī
vo nauhoñ ke adab kā tarz to pahchāntī hogī
use kad hogī shāyad un sabhī se jo lapāḌī hoñ
na hoñge ḳhvāb us kā jo gavayye aur khilāḌī hoñ
hadaf hoñge tumhārā kaun tum kis ke hadaf hoge
na jaane vaqt kī paikār meñ tum kis taraf hoge
hai ran ye zindagī ik ran jo barpā lamha lamha hai
hameñ is ran meñ kuchh bhī ho kisī jānib to honā hai
so ham bhī is nafas tak haiñ sipāhī ek lashkar ke
hazāroñ saal se jiite chale aa.e haiñ mar mar ke
shuhūd ik fan hai aur merī adāvat be-fanoñ se hai
mirī paikār azal se
ye 'ḳhusro' 'mīr' 'ġhālib' kā ḳharāba bechtā kyā hai
hamārā 'ġhālib'-e-āzam thā chor āqa-e-'bedil' kā
so rizq-e-faḳhr ab ham khā rahe haiñ 'mīr'-e-bismil kā
sidhārat bhī thā sharminda ki do-ābe kā baasī thā
tumheñ ma.alūm hai urdu jo hai paalī se niklī hai
vo goyā us kī hī ik pur-numū Daalī se niklī hai
ye kaḌvāhaT kī bāteñ haiñ miThās in kī na pūchho tum
nam-e-lab ko tarastī haiñ so pyaas in kī na pūchho tum
ye ik do jur.oñ kī ik chuhl hai aur chuhl meñ kyā hai
avāmunnās se pūchho bhalā al-kuhl meñ kyā hai
ye ta.an-o-tanz kī harza-sarā.ī ho nahīñ saktī
ki merī jaan mere dil se rishta kho nahīñ saktī
nasha chaḌhne lagā hai aur chaḌhnā chāhiye bhī thā
abas kā nirḳh to is vaqt baḌhnā chāhiye bhī thā
ajab be-mājrā be-taur be-zārāna hālat hai
vajūd ik vahm hai aur vahm hī shāyad haqīqat hai
ġharaz jo haal thā vo nafs ke bāzār hī kā thā
hai ''ze'' bāzār meñ to darmiyāñ 'zaryūn' meñ avval
to ye ibrāfanīqī khelte harfoñ se the har pal
to ye 'zaryūn' jo hai kyā ye aflātūn hai koī
amaañ 'zaryūn' hai 'zaryūn' vo ma.ajūn kyuuñ hotā
haiñ ma.ajūneñ mufīd ''arvāh'' ko ma.ajūn yuuñ hotā
suno tafrīq kaise ho bhalā ashḳhās o ashyā meñ
bahut janjāl haiñ par ho yahāñ to ''yā'' meñ aur ''yā'' meñ
tumhārī jo hamāsa hai bhalā us kā to kyā kahnā
hai shāyad mujh ko saarī umr us ke sehr meñ rahnā
magar mere ġharīb ajdād ne bhī kuchh kiyā hogā
bahut tuchchā sahī un kā bhī koī mājrā hogā
ye ham jo haiñ hamārī bhī to hogī koī nauTañkī
hamārā ḳhuun bhī sach-much kā sehne par bahā hogā
hai āḳhir zindagī ḳhuun az-bun-e-nāḳhun bar-āvar-tar
qayāmat sāneha matlab qayāmat fāje.a parvar
nahīñ ho tum mire aur merā fardā bhī nahīñ merā
so maiñ ne sāhat-e-dīroz meñ Daalā hai ab Derā
mire dīroz meñ zahr-e-halāhal teġh-e-qātil hai
mire ghar kā vahī sarnām-tar hai jo bhī bismil hai
guzasht-e-vaqt se paimān hai apnā ajab sā kuchh
so ik ma.amūl hai imrān ke ghar kā ajab sā kuchh
'hasan' naamī hamāre ghar meñ ik 'suqrāt' guzrā hai
vo apnī naf.i se isbāt tak ma.ashar ke pahuñchā hai
ki ḳhūn-e-rā.egāñ ke amr meñ paḌnā nahīñ ham ko
vo sūd-e-hāl se yaksar ziyāñ-kārāna guzrā hai
talab thī ḳhuun kī qai kī use aur be-nihāyat thī
so fauran bint-e-ash.ash kā pilāyā pī gayā hogā
vo ik lamhe ke andar sarmadiyyat jī gayā hogā
tumhārī arjumand ammī ko maiñ bhūlā bahut din meñ
maiñ un kī rañg kī taskīn se nimTā bahut din meñ
vahī to haiñ jinhoñ ne mujh ko paiham rañg thukvāyā
vo kis rag kā lahū hai jo miyāñ maiñ ne nahīñ thūkā
lahū aur thūknā us kā hai kārobār bhī merā
yahī hai saakh bhī merī yahī me.aar bhī merā
maiñ vo huuñ jis ne apne ḳhuun se mausam khilā.e haiñ
na-jāne vaqt ke kitne hī aalam āzmā.e haiñ
maiñ ik tārīḳh huuñ aur merī jaane kitnī fasleñ haiñ
mirī kitnī hī fareñ haiñ mirī kitnī hī asleñ haiñ
havādis mājrā hī ham rahe haiñ ik zamāne se
shadā.ed sāneha hī ham rahe haiñ ik zamāne se
hamesha se bapā ik jañg hai ham us meñ qaa.em haiñ
hamārī jañg ḳhair o shar ke bistar kī hai zā.ida
ye charḳh-e-jabr ke davvār-e-mumkin kī hai girvīda
laḌā.ī ke liye maidān aur lashkar nahīñ lāzim
sinān o gurz o shamshīr o tabar ḳhanjar nahīñ lāzim
bas ik ehsās lāzim hai ki ham buadain haiñ donoñ
ki nafi-e-ain-e-ain o sar-ba-sar ziddain haiñ donoñ
luis-urbina ne merī ajab kuchh ġham-gusārī kī
ba-sad dil dānishī guzrān apnī mujh pe taarī kī
bahut us ne pilā.ī aur piine hī na dī mujh ko
palak tak us ne marne ke liye jiine na dī mujh ko
''maiñ tere ishq meñ ranjīda huuñ haañ ab bhī kuchh kuchh huuñ
mujhe terī ḳhayānat ne ġhazab majrūh kar Daalā
magar taish-e-shadīdāna ke ba.ad āḳhir zamāne meñ
razā kī jāvidāna jabr kī naubat bhī aa pahuñchī''
mohabbat ek paspā.ī hai pur-ahvāl hālat kī
mohabbat apnī yak-taurī meñ dushman hai mohabbat kī
suḳhan māl-e-mohabbat kī dukān-ārā.ī kartā hai
suḳhan sau tarah se ik ramz kī rusvā.ī kartā hai
suḳhan bakvās hai bakvās jo Thahrā hai fan merā
vo hai ta.abīr kā aflās jo Thahrā hai fan merā
suḳhan ya.anī laboñ kā fan suḳhan-var ya.anī ik pur-fan
suḳhan-var iizad achchhā thā ki aadam yā phir ahriman
mazīd aañkī suḳhan meñ vaqt hai vaqt ab se ab ya.anī
kuchh aisā hai ye maiñ jo huuñ ye maiñ apne sivā huuñ ''maiñ''
so apne aap meñ shāyad nahīñ vaaq.e huā huuñ maiñ
jo hone meñ ho vo har lamha apnā ġhair hotā hai
ki hone ko to hone se ajab kuchh bair hotā hai
yūñhī bas yūñhī 'zenū' ne yakāyak ḳhud-kushī kar lī
ajab hiss-e-zarāfat ke the mālik ye ravāqī bhī
bidah yaarā azaañ baada ki dahqāñ parvard āñ-rā
ba sozad har mata-e-intimā.e dūdmānañ rā
ba-sozad iiñ zamīn-e-e'tibār-o-āsmānāñ rā
ba-sozad jaan o dil rāham bayāsāyad dil o jaañ rā
dil o jaañ aur āsā.ish ye ik kaunī tamasḳhur hai
humuq kī abqariyyat hai safāhat kā tafakkur hai
humuq kī abqariyyat aur safāhat ke tafakkur ne
hameñ taz.ī-e-mohlat ke liye akvān baḳhshe haiñ
aur aflātūn-e-aqdas ne hameñ āyān baḳhshe haiñ
suno 'zaryūn' tum to ain-e-a.ayān-e-haqīqat ho
nazar se duur manzar kā sar-o-sāmān-e-sarvat ho
hamārī umr kā qissa hisāb andoz-e-ānī hai
zamānī zad meñ zan kī ik gumān-e-lāzimānī hai
gumāñ ye hai ki baaqī hai baqā har aan faanī hai
kahānī sunñe vaale jo bhī haiñ vo ḳhud kahānī haiñ
kahānī kahne vaalā ik kahānī kī kahānī hai
piyā pe ye gudāzish ye gumāñ aur ye gile kaise
sila-sozī to merā fan hai phir is ke sile kaise
to maiñ kyā kah rahā thā ya.anī kyā kuchh sah rahā thā maiñ
amaañ haañ mez par yā mez par se bah rahā thā maiñ
ruko maiñ be-sar-o-pā apne sar se bhaag niklā huuñ
ilā yā ayyuhal-abjad zarā ya.anī zarā Thahro
There is an absurd i in absurdity shāyad
kahīñ apne sivā ya.anī kahīñ apne sivā Thahro
tum is absurdity meñ ik radīf ik qāfiya Thahro
radīf o qāfiya kyā haiñ shikast-e-nā-ravā kyā hai
shikast-e-nāravā ne mujh ko paara paara kar Daalā
anā ko merī be-andāza-tar be-chāra kar Daalā
maiñ apne aap meñ haarā huuñ aur ḳhvārāna haarā huuñ
jigar-chākāna haarā huuñ dil-afgārāna haarā huuñ
jise fan kahte aa.e haiñ vo hai ḳhūn-e-jigar apnā
magar ḳhūn-e-jigar kyā hai vo hai kattāl-tar apnā
koī ḳhūn-e-jigar kā fan zarā ta.abīr meñ laa.e
magar maiñ to kahūñ vo pahle mere sāmne aa.e
vajūd o sher ye donoñ define ho nahīñ sakte
kabhī mafhūm meñ hargiz ye kaa.in ho nahīñ sakte
hisāb-e-harf meñ aatā rahā hai bas hasab un kā
nahīñ ma.alūm iizad īzdāñ ko bhī nasab un kā
hai iizad īzdāñ ik ramz jo be-ramz nisbat hai
miyāñ ik haal hai ik haal jo be-hāl-e-hālat hai
na jaane jabr hai hālat ki hālat jabr hai ya.anī
kisī bhī baat ke ma.anī jo haiñ un ke haiñ kyā ma.anī
vajūd ik jabr hai merā adam auqāt hai merī
jo merī zaat hargiz bhī nahīñ vo zaat hai merī
maiñ roz-o-shab nigārish-kosh ḳhud apne adam kā huuñ
maiñ apnā aadmī hargiz nahīñ lauh-o-qalam kā huuñ
haiñ kaḌvāhaT meñ ye bhīge hue lamhe ajab se kuchh
sarāsar be-hisābānā sarāsar be-sabab se kuchh
sarāboñ ne sarāboñ par bahut bādal haiñ barsā.e
sharāboñ ne ma.ābad ke tamūz o ba.al nahlā.e
(yaqīnan qāfiya hai yāvā-farmā.ī kā sar-chashma
''haiñ nahlā.e'' ''haiñ barsā.e'')
na jaane āriba kyuuñ aa.e kyuuñ musta.araba aa.e
muzir ke log to chhāne hī vaale the so vo chhā.e
mire jad hāshim-e-ālī ga.e gazza meñ dafnā.e
maiñ naaqe ko pilā.ūñgā mujhe vaañ tak vo le jaa.e
lidū lilmauti vabnū lilhizābi san ḳharābātī
vo mard-e-ūs kahtā hai haqīqat hai ḳhurāfātī
ye zālim tīsrā paig ik aqānīmī bidāyat hai
ulūhī harzā-farmā.ī kā sirr-e-tūr-e-luknat hai
bhalā hūrab kī jhāḌī kā vo ramz-e-ātishīñ kyā thā
magar hūrab kī jhāḌī kyā ye kis se kis kī nisbat hai
ye nisbat ke bahut se qāfiye haiñ hai gilā is kā
magar tujh ko to yārā! qāfiyoñ kī be-tarah lat hai
gumāñ ye hai ki shāyad bahr se ḳhārij nahīñ huuñ maiñ
zarā bhī haal ke āhañg meñ hārij nahīñ huuñ
tanā-tan tan tanā-tan tan tanā-tan tan tanā-tan tan
tanā-tan tan nahīñ mehnat-kashoñ kā tan na pairāhan
na pairāhan na puurī aadhī roTī ab rahā sālan
ye saale kuchh bhī khāne ko na paa.eñ gāliyāñ khā.eñ
hai in kī be-hisī meñ to muqaddas-tar harāmī-pan
magar āhañg merā kho gayā shāyad kahāñ jaane
koī mauj-e-... koī mauj-e-shumāl-e-jāvedāñ jaane
shumāl-e-jāvedāñ ke apne hī qisse the jo guzre
vo ho guzre to phir ḳhud maiñ ne bhī jaanā vo ho guzre
shumāl-e-jāvedāñ apnā shumāl-e-jāvedān-e-jāñ
hai ab bhī apnī pūñjī ik malāl-e-jāvedān-e-jāñ
nahīñ ma.alūm 'zayūn' ab tumhārī umr kyā hogī
yahī hai dil kā mazmūn ab tumhārī umr kyā hogī
hamāre darmiyāñ ab ek bejā-tar zamāna hai
lab-e-tishna pe ik zahr-e-haqīqat kā fasāna hai
ajab fursat mayassar aa.ī hai ''dil jaan rishte'' ko
na dil ko āzmānā hai na jaañ ko āzmānā hai
kalīd-e-kisht-zār-e-ḳhvāb bhī gum ho ga.ī āḳhir
kahāñ ab jāda-e-ḳhurram meñ sar-sabzāna jaanā hai
kahūñ to kyā kahūñ merā ye zaḳhm-e-jāvedāna hai
vahī dil kī haqīqat jo kabhī jaañ thī vo ab āḳhir
fasāna dar fasāna dar fasāna dar fasāna hai
hamārā bāhamī rishta jo hāsil-tar thā rishtoñ kā
hamārā taur-e-be-zārī bhī kitnā vālihāna hai
kisī kā naam likkhā hai mirī saarī bayāzoñ par
maiñ himmat kar rahā huuñ ya.anī ab us ko miTānā hai
ye ik shām-e-azāb-e-be-sarokāna hālat hai
hue jaane kī hālat meñ huuñ bas fursat hī fursat hai
nahīñ ma.alūm tum is vaqt kis ma.alūm meñ hoge
na jaane kaun se ma.anī meñ kis mafhūm meñ hoge
maiñ thā mafhūm nā-mafhūm meñ gum ho chukā huuñ maiñ
maiñ thā ma.alūm nā-mālūm meñ gum ho chukā huuñ maiñ
nahīñ ma.alūm 'zaryūn' ab tumhārī umr kyā hogī
mire ḳhud se guzarne ke zamāne se sivā hogī
mire qāmat se ab qāmat tumhārā kuchh fuzūñ hogā
mirā fardā mire dīroz se bhī ḳhush numūñ hogā
hisāb-e-māh-o-sāl ab tak kabhī rakkhā nahīñ maiñ ne
kisī bhī fasl kā ab tak maza chakkhā nahīñ maiñ ne
maiñ apne aap meñ kab rah sakā kab rah sakā āḳhir
kabhī ik pal ko bhī apne liye sochā nahīñ maiñ ne
hisāb-e-māh-o-sāl o roz-o-shab vo soḳhta-būdash
musalsal jāñ-kanī ke haal meñ rakhtā bhī to kaise
jise ye bhī na ho ma.alūm vo hai bhī to kyūñ-kar hai
koī hālat dil-e-pāmāl meñ rakhtā bhī to kaise
koī nisbat bhī ab to zaat se bāhar nahīñ merī
koī bistar nahīñ merā koī chādar nahīñ merī
ba-hāl-e-nā-shitā sad-zaḳhm-hā o ḳhūn-hā ḳhūdam
ba-har-dam shukarāñ āmeḳhta ma.ajūn-hā ḳhūdam
tumheñ is baat se matlab hī kyā aur āḳhirash kyuuñ ho
kisī se bhī nahīñ mujh ko gila aur āḳhirash kyuuñ ho
jo hai ik nañg-e-hastī us ko tum kyā jaan bhī loge
agar tum dekh lo mujh ko to kyā pahchān bhī loge
tumheñ mujh se jo nafrat hai vahī to merī rāhat hai
mirī jo bhī aziyyat hai vahī to merī lazzat hai
ki āḳhir is jahāñ kā ek nizām-e-kār hai āḳhir
jazā kā aur sazā kā koī to hanjār hai āḳhir
maiñ ḳhud meñ jheñktā huuñ aur siine meñ bhaḌaktā huuñ
mire andar jo hai ik shaḳhs maiñ us meñ phaḌaktā huuñ
hai merī zindagī ab roz-o-shab yak-majlis-e-ġham-hā
azā-hā marsiya-hā girya-hā āshob-e-mātam-hā
tumhārī tarbiyat meñ merā hissa kam rahā kam-tar
zabāñ merī tumhāre vāste shāyad ki mushkil ho
zabāñ apnī zabāñ maiñ tum ko āḳhir kab sikhā paayā
azāb-e-sad-shamātat āḳhirash mujh par hī nāzil ho
zabāñ kā kaam yuuñ bhī baat samjhānā nahīñ hotā
samajh meñ koī bhī matlab kabhī aanā nahīñ hotā
kabhī ḳhud tak bhī matlab koī pahuñchānā nahīñ hotā
gumānoñ ke gumāñ kī dam-ba-dam āshob-kārī hai
bhalā kyā e'tibārī aur kyā nā-e'tibārī hai
gumāñ ye hai bhalā meñ juz gumāñ kyā thā gumānoñ meñ
suḳhan hī kyā fasānoñ kā dharā kyā hai fasānoñ meñ
mirā kyā tazkira aur vāqa.ī kyā tazkira merā
maiñ ik afsos thā afsos huuñ guzre zamānoñ meñ
hai shāyad dil mirā be-zaḳhm aur lab par nahīñ chhāle
mire siine meñ kab sozinda-tar dāġhoñ ke haiñ thāle
magar dozaḳh pighal jaa.e jo mere saañs apnā le
tum apnī maam ke behad murādī minnatoñ vaale
mire kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ baale
magar pahle kabhī tum se mirā kuchh silsila to thā
gumāñ meñ mere shāyad ik koī ġhuncha khilā to thā
vo merī jāvedāna be-duī kā ik sila to thā
so us ko ek abbū naam kā ghoḌā milā to thā
sāya-e-dāmān-e-rahmat chāhiye thoḌā mujhe
maiñ na chhoḌūñ yā nabī tum ne agar chhoḌā mujhe
iid ke din mustafā se yuuñ lage kahne 'husain'
sabz joḌā do 'hasan' ko surḳh do joḌā mujhe
''adab adab kutte tire kaan kāTūñ
'zaryūn' ke byaah ke naan bāTūñ''
tāroñ bhare jagar jagar ḳhvān bāTūñ
''ā jā rī nindiyā tū aa kyuuñ na jā
'zaryūn' ko aa ke sulā kyuuñ na jaa''
tumhāre byaah meñ shajara paḌhā jaanā thā nausha vāstī dūlhā
''chaukī āñgan meñ bichhī vāstī dūlhā ke liye''
makke madīne ke paak musalle payambar ghar navāse
shāh-e-mardāñ amīrul-maminīn hazrat-'alī' ke pote
hazrat imām-'hasan' hazrat imām-'husain' ke pote
hazrat imām-alī-'naqī' ke pote
sayyad-'jāfar' saanī ke pote
sayyad abul-farah saidvāil-vāstī ke pote
mīrāñ sayyad-'alī'-buzurg ke pote
sayyad-'husain'-sharfuddīn shāh-vilāyat ke pote
qaazī sayyad-'amīr'-alī ke pote
dīvān sayyad-'hāmid' ke pote
allāma sayyad-shafīq-'hasan'-eliyā ke pote
sayyad-'jaun'-eliyā hasani-ul-husainī sapūt-jāh''
magar nāzir hamārā soḳhta-sulb āḳhirī nassāb ab marne hī vaalā hai
bas ik pal haf sadī kā faisla karne hī vaalā hai
suno 'zaryūn' bas tum hī suno ya.anī faqat tum hī
vahī rāhat meñ hai jo aam se hone ko apnā le
kabhī koī bhī par ho koī 'bahman' yaar yā 'zenū'
tumheñ bahkā na paa.e aur bairūnī na kar Daale
maiñ saarī zindagī ke dukh bhugat kar tum se kahtā huuñ
bahut dukh degī tum meñ fikr aur fan kī numū mujh ko
tumhāre vāste behad sahūlat chāhtā huuñ maiñ
davām-e-jahl o hāl-e-istirāhat chāhtā huuñ maiñ
na dekho kaash tum vo ḳhvāb jo dekhā kiyā huuñ maiñ
vo saare ḳhvāb the qassāb jo dekhā kiyā huuñ maiñ
ḳharāsh-e-dil se tum be-rishta be-maqdūr hī Thahro
mire jahmīm-e-zāt-e-zāt se tum duur hī Thahro
koī 'zaryūn' koī bhī clerk aur koī kārinda
koī bhī bank kā afsar senator koī pāvanda
har ik haivān-e-sarkārī ko TaTTū jāntā huuñ maiñ
so zāhir hai ise shai se ziyāda māntā huuñ maiñ
tumheñ ho sub.h-dam taufīq bas aḳhbār paḌhne kī
tumheñ ai kaash bīmārī na ho dīvār paḌhne kī
ajab hai 'sartre' aur 'ressel' bhī aḳhbār paḌhte the
vo mālūmāt ke maidān ke shauqīn būḌhe the
nahīñ ma.alūm mujh ko aam shahrī kaise hote haiñ
vo kaise apnā banjar naam banjar-pan meñ bote haiñ
maiñ ''urr'' se aaj tak ik aam shahrī ho nahīñ paayā
isī baa.is maiñ huuñ amboh kī lazzat se be-māya
magar tum ik do-pāya raast qāmat ho ke dikhlānā
suno rā.e-dahinda bin hue tum baaz mat aanā
faqat 'zaryūn' ho tum ya.anī apnā sābiqā chhoḌo
faqat 'zaryūn' ho tum ya.anī apnā lāhiqā chhoḌo
magar maiñ kaun jo chāhūñ tumhāre baab meñ kuchh bhī
bhalā kyuuñ ho mire ehsās ke asbāb meñ kuchh bhī
tumhārā baap ya.anī maiñ abas maiñ ik abas-tar maiñ
magar maiñ ya.anī jaane kaun achchhā maiñ sarāsar maiñ
maiñ kāsa-bāz o kīna-sāz o kāsa-tan huuñ kuttā huuñ
maiñ ik nañgīn-e-būdash huuñ pa tum to sirr-e-mun.am ho
tumhārā baap rūhul-quds thā tum ibn-e-maryam ho
ye qulqul tīsrā paig ab to chauthā ho gumāñ ye hai
gumāñ kā mujh se koī ḳhaas rishta ho gumāñ ye hai
gumāñ ye hai ki maiñ jo jā rahā thā aa rahā huuñ maiñ
magar maiñ aa rahā kab huuñ piyāpe jā rahā huuñ maiñ
ye chauthā paig hai ūñ-hūñ zalālat kī ga.ī mujh se
zalālat kī ga.ī mujh se ḳhayānat kī ga.ī mujh se
jozāmī ho ga.ī 'vazzāh' kī mahbūb vāvailā
magar is kā gila kyā jab nahīñ aayā koī eilā
suno merī kahānī par miyāñ merī kahānī kyā
maiñ yaksar rā.igānī huuñ hisāb-e-rā.igānī kyā
bahut kuchh thā kabhī shāyad par ab kuchh bhī nahīñ huuñ maiñ
na apnā ham-nafas huuñ maiñ na apnā ham-nashīñ huuñ maiñ
kabhī kī baat hai fariyād merā vo kabhī ya.anī
nahīñ is kā koī matlab nahīñ is ke koī ma.anī
maiñ apne shahr kā sab se girāmī naam laḌkā thā
maiñ be-hañgām laḌkā thā maiñ sad-hañgām laḌkā thā
mire dam se ġhazab hañgāma rahtā thā mohalloñ meñ
maiñ hashr-āġhāz laḌkā thā maiñ hashr-anjām laḌkā thā
mire hindū musalmāñ sab mujhe sar par biThāte the
unhī ke faiz se ma.anī mujhe ma.anī sikhāte the
suḳhan bahtā chalā aatā hai be-bā.is ke hoñToñ se
vo kuchh kahtā chalā aatā hai be-bā.is ke hoñToñ se
maiñ ashrāf-e-kamīna-kār ko Thokar pe rakhtā thā
so maiñ mehnat-kashoñ kī jūtiyāñ mimbar pe rakhtā thā
maiñ shāyad ab nahīñ huuñ vo magar ab bhī vahī huuñ maiñ
ġhazab hañgāma-parvar ḳhīra-sar ab bhī vahī huuñ maiñ
magar merā thā ik taur aur bhī jo aur hī kuchh thā
magar merā thā ik daur aur bhī jo aur hī kuchh thā
maiñ apne shahr-e-ilm-o-fan kā thā ik naujavāñ kāhin
mire tilmīz-e-ilm-o-fan mire baabā ke the ham-sin
mirā baabā mujhe ḳhāmosh āvāzeñ sunātā thā
vo apne-āp meñ gum mujh ko pur-hālī sikhātā thā
vo hai.at-dāñ vo aalim nāf-e-shab meñ chhat pe jaatā thā
rasad kā rishta sayyāroñ se rakhtā thā nibhātā thā
use ḳhvāhish thī shohrat kī na koī hirs-e-daulat thī
baḌe se qutr kī ik dūrbīn us kī zarūrat thī
mirī maañ kī tamannāoñ kā qātil thā vo qallāma
mirī maañ merī mahbūba qayāmat kī hasīna thī
sitam ye hai ye kahne se jhijaktā thā vo fahhāma
thā behad ishti.āl-añgez bad-qismat o allāma
ḳhalaf us ke ḳhazaf aur be-nihāyat nā-ḳhalaf nikle
ham us ke saare beTe intihā.ī be-sharaf nikle
maiñ us ālim-tarīn-e-dahr kī fikrat kā munkir thā
maiñ fastā.ī thā jāhil thā aur mantiq kā māhir thā
par ab merī ye shohrat hai ki maiñ bas ik sharābī huuñ
maiñ apne dūdmān-e-ilm kī ḳhāna-ḳharābī huuñ
sagān-e-ḳhūk zād-e-barzan o bāzār-e-be-maġhzī
mirī jānib ab apne thobaḌe shāhāna karte haiñ
zinā-zāde mirī izzat bhī gustāḳhāna karte haiñ
kamīne sharm bhī ab mujh se be-sharmāna karte the
mujhe is shaam hai apne laboñ par ik suḳhan laanā
'alī' darvesh thā tum us ko apnā jadd na batlānā
vo sibtain-e-mohamād, jin ko jaane kyuuñ bahut arfa.a
tum un kī duur kī nisbat se bhī yaksar mukar jaanā
ki is nisbat se zahar o zaḳhm ko sahnā zarūrī hai
ajab ġhairat se ġhaltīda-ba-ḳhūñ rahnā zarūrī hai
vo shajra jo kanāna fahr ġhālib ka.ab marra se
qusai o hāshim o sheba abū-tālib tak aatā thā
vo ik andoh thā tārīḳh kā andoh-e-sozinda
vo nāmoñ kā daraḳht-e-zard thā aur us kī shāḳhoñ ko
kisī tannūr ke haizam kī ḳhākistar hī banñā thā
use sho.ala-zada būdash kā ik bistar hī banñā thā
hamārā faḳhr thā faqr aur dānish apnī pūñjī thī
nasab-nāmoñ ke ham ne kitne hī parcham lapeTe haiñ
mire ham-shahr 'zaryūn' ik fusūñ hai nasl ham, donoñ
faqat aadam ke beTe haiñ faqat aadam ke beTe haiñ
maiñ jab ausān apne khone lagtā huuñ to hañstā huuñ
maiñ tum ko yaad kar ke rone lagtā huuñ to hañstā huuñ
hamesha maiñ ḳhudā hāfiz hamesha maiñ ḳhudā hāfiz
ḳhudā hāfiz
ḳhudā hāfiz
nahin malum 'zaryun' ab tumhaari umr kya hogi
wo kin KHwabon se jaane aashna na-ashna hogi
tumhaare dil ke is duniya se kaise silsile honge
tumhein kaise guman honge tumhein kaise gile honge
tumhaari subh jaane kin KHayalon se nahati ho
tumhaari sham jaane kin malalon se nibhati ho
na jaane kaun doshiza tumhaari zindagi hogi
na jaane us ki kya bayastagi shaistagi hogi
use tum phone karte aur KHat likhte rahe hoge
na jaane tum ne kitni kam ghalat urdu likhi hogi
ye KHat likhna to daqyanus ki piDhi ka qissa hai
ye sinf-e-nasr hum na-baalighon ke fan ka hissa hai
wo hansti ho to shayad tum na rah pate ho haalon mein
gaDha nanha sa paD jata ho shayad us ke galon mein
guman ye hai tumhaari bhi rasai na-rasai ho
wo aai ho tumhaare pas lekin aa na pai ho
wo shayad maide ki gand biryani na khati ho
wo nan-e-be-KHamir-e-maida kam-tar hi chabaati ho
wo doshiza bhi shayad dastanon ki ho dil-dada
use malum hoga 'zal' tha 'sohrab' ka dada
tahamtan yani 'rustam' tha girami 'sam' ka waris
girami 'sam' tha sulb-e-nar-e-'mani' ka KHush-zada
(ye meri ek KHwahish hai jo mushkil hai)
wo 'najm'-afandi-e-marhum ko to jaanti hogi
wo nauhon ke adab ka tarz to pahchanti hogi
use kad hogi shayad un sabhi se jo lapaDi hon
na honge KHwab us ka jo gawayye aur khilaDi hon
hadaf honge tumhaara kaun tum kis ke hadaf hoge
na jaane waqt ki paikar mein tum kis taraf hoge
hai ran ye zindagi ek ran jo barpa lamha lamha hai
hamein is ran mein kuchh bhi ho kisi jaanib to hona hai
so hum bhi is nafas tak hain sipahi ek lashkar ke
hazaron sal se jite chale aae hain mar mar ke
shuhud ek fan hai aur meri adawat be-fanon se hai
meri paikar azal se
ye 'KHusro' 'mir' 'ghaalib' ka KHaraba bechta kya hai
hamara 'ghaalib'-e-azam tha chor aaqa-e-'bedil' ka
so rizq-e-faKHr ab hum kha rahe hain 'mir'-e-bismil ka
sidhaarat bhi tha sharminda ki do-abe ka basi tha
tumhein malum hai urdu jo hai pali se nikli hai
wo goya us ki hi ek pur-numu Dali se nikli hai
ye kaDwahaT ki baaten hain miThas in ki na puchho tum
nam-e-lab ko tarasti hain so pyas in ki na puchho tum
ye ek do juron ki ek chuhl hai aur chuhl mein kya hai
awamunnas se puchho bhala al-kuhl mein kya hai
ye tan-o-tanz ki harza-sarai ho nahin sakti
ki meri jaan mere dil se rishta kho nahin sakti
nasha chaDhne laga hai aur chaDhna chahiye bhi tha
abas ka nirKH to is waqt baDhna chahiye bhi tha
ajab be-majra be-taur be-zarana haalat hai
wajud ek wahm hai aur wahm hi shayad haqiqat hai
gharaz jo haal tha wo nafs ke bazar hi ka tha
hai ze bazar mein to darmiyan 'zaryun' mein awwal
to ye ibrafaniqi khelte harfon se the har pal
to ye 'zaryun' jo hai kya ye aflatun hai koi
aman 'zaryun' hai 'zaryun' wo majun kyun hota
hain majunen mufid arwah ko majun yun hota
suno tafriq kaise ho bhala ashKHas o ashya mein
bahut janjal hain par ho yahan to ya mein aur ya mein
tumhaari jo hamasa hai bhala us ka to kya kahna
hai shayad mujh ko sari umr us ke sehr mein rahna
magar mere gharib ajdad ne bhi kuchh kiya hoga
bahut tuchcha sahi un ka bhi koi majra hoga
ye hum jo hain hamari bhi to hogi koi nauTanki
hamara KHun bhi sach-much ka sehne par baha hoga
hai aaKHir zindagi KHun az-bun-e-naKHun bar-awar-tar
qayamat saneha matlab qayamat fajea parwar
nahin ho tum mere aur mera farda bhi nahin mera
so main ne sahat-e-diroz mein Dala hai ab Dera
mere diroz mein zahr-e-halahal tegh-e-qatil hai
mere ghar ka wahi sarnam-tar hai jo bhi bismil hai
guzasht-e-waqt se paiman hai apna ajab sa kuchh
so ek mamul hai imran ke ghar ka ajab sa kuchh
'hasan' nami hamare ghar mein ek 'suqraat' guzra hai
wo apni nafi se isbaat tak mashar ke pahuncha hai
ki KHun-e-raegan ke amr mein paDna nahin hum ko
wo sud-e-haal se yaksar ziyan-karana guzra hai
talab thi KHun ki qai ki use aur be-nihayat thi
so fauran bint-e-ashash ka pilaya pi gaya hoga
wo ek lamhe ke andar sarmadiyyat ji gaya hoga
tumhaari arjumand ammi ko main bhula bahut din mein
main un ki rang ki taskin se nimTa bahut din mein
wahi to hain jinhon ne mujh ko paiham rang thukwaya
wo kis rag ka lahu hai jo miyan main ne nahin thuka
lahu aur thukna us ka hai karobar bhi mera
yahi hai sakh bhi meri yahi mear bhi mera
main wo hun jis ne apne KHun se mausam khilae hain
na-jaane waqt ke kitne hi aalam aazmae hain
main ek tariKH hun aur meri jaane kitni faslen hain
meri kitni hi faren hain meri kitni hi aslen hain
hawadis majra hi hum rahe hain ek zamane se
shadaed saneha hi hum rahe hain ek zamane se
hamesha se bapa ek jang hai hum us mein qaem hain
hamari jang KHair o shar ke bistar ki hai zaida
ye charKH-e-jabr ke dawwar-e-mumkin ki hai girwida
laDai ke liye maidan aur lashkar nahin lazim
sinan o gurz o shamshir o tabar KHanjar nahin lazim
bas ek ehsas lazim hai ki hum buadain hain donon
ki nafi-e-ain-e-ain o sar-ba-sar ziddain hain donon
luis-urbina ne meri ajab kuchh gham-gusari ki
ba-sad dil danishi guzran apni mujh pe tari ki
bahut us ne pilai aur pine hi na di mujh ko
palak tak us ne marne ke liye jine na di mujh ko
main tere ishq mein ranjida hun han ab bhi kuchh kuchh hun
mujhe teri KHayanat ne ghazab majruh kar Dala
magar taish-e-shadidana ke baad aaKHir zamane mein
raza ki jawidana jabr ki naubat bhi aa pahunchi
mohabbat ek paspai hai pur-ahwal haalat ki
mohabbat apni yak-tauri mein dushman hai mohabbat ki
suKHan mal-e-mohabbat ki dukan-arai karta hai
suKHan sau tarah se ek ramz ki ruswai karta hai
suKHan bakwas hai bakwas jo Thahra hai fan mera
wo hai tabir ka aflas jo Thahra hai fan mera
suKHan yani labon ka fan suKHan-war yani ek pur-fan
suKHan-war izad achchha tha ki aadam ya phir ahriman
mazid aanki suKHan mein waqt hai waqt ab se ab yani
kuchh aisa hai ye main jo hun ye main apne siwa hun main
so apne aap mein shayad nahin waqe hua hun main
jo hone mein ho wo har lamha apna ghair hota hai
ki hone ko to hone se ajab kuchh bair hota hai
yunhi bas yunhi 'zenu' ne yakayak KHud-kushi kar li
ajab hiss-e-zarafat ke the malik ye rawaqi bhi
bidah yara azan baada ki dahqan parward aan-ra
ba sozad har mata-e-intimae dudmanan ra
ba-sozad in zamin-e-e'tibar-o-asmanan ra
ba-sozad jaan o dil raham bayasayad dil o jaan ra
dil o jaan aur aasaish ye ek kauni tamasKHur hai
humuq ki abqariyyat hai safahat ka tafakkur hai
humuq ki abqariyyat aur safahat ke tafakkur ne
hamein tazi-e-mohlat ke liye akwan baKHshe hain
aur aflatun-e-aqdas ne hamein aayan baKHshe hain
suno 'zaryun' tum to ain-e-ayan-e-haqiqat ho
nazar se dur manzar ka sar-o-saman-e-sarwat ho
hamari umr ka qissa hisab andoz-e-ani hai
zamani zad mein zan ki ek guman-e-lazimani hai
guman ye hai ki baqi hai baqa har aan fani hai
kahani sunne wale jo bhi hain wo KHud kahani hain
kahani kahne wala ek kahani ki kahani hai
piya pe ye gudazish ye guman aur ye gile kaise
sila-sozi to mera fan hai phir is ke sile kaise
to main kya kah raha tha yani kya kuchh sah raha tha main
aman han mez par ya mez par se bah raha tha main
ruko main be-sar-o-pa apne sar se bhag nikla hun
ila ya ayyuhal-abjad zara yani zara Thahro
There is an absurd i in absurdity shayad
kahin apne siwa yani kahin apne siwa Thahro
tum is absurdity mein ek radif ek qafiya Thahro
radif o qafiya kya hain shikast-e-na-rawa kya hai
shikast-e-narawa ne mujh ko para para kar Dala
ana ko meri be-andaza-tar be-chaara kar Dala
main apne aap mein haara hun aur KHwarana haara hun
jigar-chaakana haara hun dil-afgarana haara hun
jise fan kahte aae hain wo hai KHun-e-jigar apna
magar KHun-e-jigar kya hai wo hai kattal-tar apna
koi KHun-e-jigar ka fan zara tabir mein lae
magar main to kahun wo pahle mere samne aae
wajud o sher ye donon define ho nahin sakte
kabhi mafhum mein hargiz ye kain ho nahin sakte
hisab-e-harf mein aata raha hai bas hasab un ka
nahin malum izad izdan ko bhi nasab un ka
hai izad izdan ek ramz jo be-ramz nisbat hai
miyan ek haal hai ek haal jo be-haal-e-haalat hai
na jaane jabr hai haalat ki haalat jabr hai yani
kisi bhi baat ke mani jo hain un ke hain kya mani
wajud ek jabr hai mera adam auqat hai meri
jo meri zat hargiz bhi nahin wo zat hai meri
main roz-o-shab nigarish-kosh KHud apne adam ka hun
main apna aadmi hargiz nahin lauh-o-qalam ka hun
hain kaDwahaT mein ye bhige hue lamhe ajab se kuchh
sarasar be-hisabana sarasar be-sabab se kuchh
sarabon ne sarabon par bahut baadal hain barsae
sharabon ne maabad ke tamuz o baal nahlae
(yaqinan qafiya hai yawa-farmai ka sar-chashma
hain nahlae hain barsae)
na jaane aariba kyun aae kyun mustaraba aae
muzir ke log to chhane hi wale the so wo chhae
mere jad hashim-e-ali gae gazza mein dafnae
main naqe ko pilaunga mujhe wan tak wo le jae
lidu lilmauti wabnu lilhizabi san KHarabaati
wo mard-e-us kahta hai haqiqat hai KHurafati
ye zalim tisra paig ek aqanimi bidayat hai
uluhi harza-farmai ka sirr-e-tur-e-luknat hai
bhala hurab ki jhaDi ka wo ramz-e-atishin kya tha
magar hurab ki jhaDi kya ye kis se kis ki nisbat hai
ye nisbat ke bahut se qafiye hain hai gila is ka
magar tujh ko to yara! qafiyon ki be-tarah lat hai
guman ye hai ki shayad bahr se KHarij nahin hun main
zara bhi haal ke aahang mein haarij nahin hun
tana-tan tan tana-tan tan tana-tan tan tana-tan tan
tana-tan tan nahin mehnat-kashon ka tan na pairahan
na pairahan na puri aadhi roTi ab raha salan
ye sale kuchh bhi khane ko na paen galiyan khaen
hai in ki be-hisi mein to muqaddas-tar harami-pan
magar aahang mera kho gaya shayad kahan jaane
koi mauj-e- koi mauj-e-shumal-e-jawedan jaane
shumal-e-jawedan ke apne hi qisse the jo guzre
wo ho guzre to phir KHud main ne bhi jaana wo ho guzre
shumal-e-jawedan apna shumal-e-jawedan-e-jaan
hai ab bhi apni punji ek malal-e-jawedan-e-jaan
nahin malum 'zayun' ab tumhaari umr kya hogi
yahi hai dil ka mazmun ab tumhaari umr kya hogi
hamare darmiyan ab ek beja-tar zamana hai
lab-e-tishna pe ek zahr-e-haqiqat ka fasana hai
ajab fursat mayassar aai hai dil jaan rishte ko
na dil ko aazmana hai na jaan ko aazmana hai
kalid-e-kisht-zar-e-KHwab bhi gum ho gai aaKHir
kahan ab jada-e-KHurram mein sar-sabzana jaana hai
kahun to kya kahun mera ye zaKHm-e-jawedana hai
wahi dil ki haqiqat jo kabhi jaan thi wo ab aaKHir
fasana dar fasana dar fasana dar fasana hai
hamara bahami rishta jo hasil-tar tha rishton ka
hamara taur-e-be-zari bhi kitna walihana hai
kisi ka nam likkha hai meri sari bayazon par
main himmat kar raha hun yani ab us ko miTana hai
ye ek sham-e-azab-e-be-sarokana haalat hai
hue jaane ki haalat mein hun bas fursat hi fursat hai
nahin malum tum is waqt kis malum mein hoge
na jaane kaun se mani mein kis mafhum mein hoge
main tha mafhum na-mafhum mein gum ho chuka hun main
main tha malum na-malum mein gum ho chuka hun main
nahin malum 'zaryun' ab tumhaari umr kya hogi
mere KHud se guzarne ke zamane se siwa hogi
mere qamat se ab qamat tumhaara kuchh fuzun hoga
mera farda mere diroz se bhi KHush numun hoga
hisab-e-mah-o-sal ab tak kabhi rakkha nahin main ne
kisi bhi fasl ka ab tak maza chakkha nahin main ne
main apne aap mein kab rah saka kab rah saka aaKHir
kabhi ek pal ko bhi apne liye socha nahin main ne
hisab-e-mah-o-sal o roz-o-shab wo soKHta-budash
musalsal jaan-kani ke haal mein rakhta bhi to kaise
jise ye bhi na ho malum wo hai bhi to kyun-kar hai
koi haalat dil-e-pamal mein rakhta bhi to kaise
koi nisbat bhi ab to zat se bahar nahin meri
koi bistar nahin mera koi chadar nahin meri
ba-haal-e-na-shita sad-zaKHm-ha o KHun-ha KHudam
ba-har-dam shukaran aameKHta majun-ha KHudam
tumhein is baat se matlab hi kya aur aaKHirash kyun ho
kisi se bhi nahin mujh ko gila aur aaKHirash kyun ho
jo hai ek nang-e-hasti us ko tum kya jaan bhi loge
agar tum dekh lo mujh ko to kya pahchan bhi loge
tumhein mujh se jo nafrat hai wahi to meri rahat hai
meri jo bhi aziyyat hai wahi to meri lazzat hai
ki aaKHir is jahan ka ek nizam-e-kar hai aaKHir
jaza ka aur saza ka koi to hanjar hai aaKHir
main KHud mein jhenkta hun aur sine mein bhaDakta hun
mere andar jo hai ek shaKHs main us mein phaDakta hun
hai meri zindagi ab roz-o-shab yak-majlis-e-gham-ha
aza-ha marsiya-ha girya-ha aashob-e-matam-ha
tumhaari tarbiyat mein mera hissa kam raha kam-tar
zaban meri tumhaare waste shayad ki mushkil ho
zaban apni zaban main tum ko aaKHir kab sikha paya
azab-e-sad-shamatat aaKHirash mujh par hi nazil ho
zaban ka kaam yun bhi baat samjhana nahin hota
samajh mein koi bhi matlab kabhi aana nahin hota
kabhi KHud tak bhi matlab koi pahunchana nahin hota
gumanon ke guman ki dam-ba-dam aashob-kari hai
bhala kya e'tibari aur kya na-e'tibari hai
guman ye hai bhala mein juz guman kya tha gumanon mein
suKHan hi kya fasanon ka dhara kya hai fasanon mein
mera kya tazkira aur waqai kya tazkira mera
main ek afsos tha afsos hun guzre zamanon mein
hai shayad dil mera be-zaKHm aur lab par nahin chhaale
mere sine mein kab sozinda-tar daghon ke hain thaale
magar dozaKH pighal jae jo mere sans apna le
tum apni mam ke behad muradi minnaton wale
mere kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin baale
magar pahle kabhi tum se mera kuchh silsila to tha
guman mein mere shayad ek koi ghuncha khila to tha
wo meri jawedana be-dui ka ek sila to tha
so us ko ek abbu nam ka ghoDa mila to tha
saya-e-daman-e-rahmat chahiye thoDa mujhe
main na chhoDun ya nabi tum ne agar chhoDa mujhe
id ke din mustafa se yun lage kahne 'husain'
sabz joDa do 'hasan' ko surKH do joDa mujhe
adab adab kutte tere kan kaTun
'zaryun' ke byah ke nan baTun
taron bhare jagar jagar KHwan baTun
aa ja ri nindiya tu aa kyun na ja
'zaryun' ko aa ke sula kyun na ja
tumhaare byah mein shajara paDha jaana tha nausha wasti dulha
chauki aangan mein bichhi wasti dulha ke liye
makke madine ke pak musalle payambar ghar nawase
shah-e-mardan amirul-maminin hazrat-'ali' ke pote
hazrat imam-'hasan' hazrat imam-'husain' ke pote
hazrat imam-ali-'naqi' ke pote
sayyad-'jafar' sani ke pote
sayyad abul-farah saidwail-wasti ke pote
miran sayyad-'ali'-buzurg ke pote
sayyad-'husain'-sharfuddin shah-wilayat ke pote
qazi sayyad-'amir'-ali ke pote
diwan sayyad-'hamid' ke pote
allama sayyad-shafiq-'hasan'-eliya ke pote
sayyad-'jaun'-eliya hasani-ul-husaini saput-jah
magar nazir hamara soKHta-sulb aaKHiri nassab ab marne hi wala hai
bas ek pal haf sadi ka faisla karne hi wala hai
suno 'zaryun' bas tum hi suno yani faqat tum hi
wahi rahat mein hai jo aam se hone ko apna le
kabhi koi bhi par ho koi 'bahman' yar ya 'zenu'
tumhein bahka na pae aur bairuni na kar Dale
main sari zindagi ke dukh bhugat kar tum se kahta hun
bahut dukh degi tum mein fikr aur fan ki numu mujh ko
tumhaare waste behad sahulat chahta hun main
dawam-e-jahl o haal-e-istirahat chahta hun main
na dekho kash tum wo KHwab jo dekha kiya hun main
wo sare KHwab the qassab jo dekha kiya hun main
KHarash-e-dil se tum be-rishta be-maqdur hi Thahro
mere jahmim-e-zat-e-zat se tum dur hi Thahro
koi 'zaryun' koi bhi clerk aur koi karinda
koi bhi bank ka afsar senator koi pawanda
har ek haiwan-e-sarkari ko TaTTu jaanta hun main
so zahir hai ise shai se ziyaada manta hun main
tumhein ho subh-dam taufiq bas aKHbar paDhne ki
tumhein ai kash bimari na ho diwar paDhne ki
ajab hai 'sartre' aur 'ressel' bhi aKHbar paDhte the
wo malumat ke maidan ke shauqin buDhe the
nahin malum mujh ko aam shahri kaise hote hain
wo kaise apna banjar nam banjar-pan mein bote hain
main urr se aaj tak ek aam shahri ho nahin paya
isi bais main hun amboh ki lazzat se be-maya
magar tum ek do-paya rast qamat ho ke dikhlana
suno rae-dahinda bin hue tum baz mat aana
faqat 'zaryun' ho tum yani apna sabiqa chhoDo
faqat 'zaryun' ho tum yani apna lahiqa chhoDo
magar main kaun jo chahun tumhaare bab mein kuchh bhi
bhala kyun ho mere ehsas ke asbab mein kuchh bhi
tumhaara bap yani main abas main ek abas-tar main
magar main yani jaane kaun achchha main sarasar main
main kasa-baz o kina-saz o kasa-tan hun kutta hun
main ek nangin-e-budash hun pa tum to sirr-e-munam ho
tumhaara bap ruhul-quds tha tum ibn-e-maryam ho
ye qulqul tisra paig ab to chautha ho guman ye hai
guman ka mujh se koi KHas rishta ho guman ye hai
guman ye hai ki main jo ja raha tha aa raha hun main
magar main aa raha kab hun piyape ja raha hun main
ye chautha paig hai un-hun zalalat ki gai mujh se
zalalat ki gai mujh se KHayanat ki gai mujh se
jozami ho gai 'wazzah' ki mahbub wawaila
magar is ka gila kya jab nahin aaya koi eila
suno meri kahani par miyan meri kahani kya
main yaksar raigani hun hisab-e-raigani kya
bahut kuchh tha kabhi shayad par ab kuchh bhi nahin hun main
na apna ham-nafas hun main na apna ham-nashin hun main
kabhi ki baat hai fariyaad mera wo kabhi yani
nahin is ka koi matlab nahin is ke koi mani
main apne shahr ka sab se girami nam laDka tha
main be-hangam laDka tha main sad-hangam laDka tha
mere dam se ghazab hangama rahta tha mohallon mein
main hashr-aghaz laDka tha main hashr-anjam laDka tha
mere hindu musalman sab mujhe sar par biThate the
unhi ke faiz se mani mujhe mani sikhate the
suKHan bahta chala aata hai be-bais ke honTon se
wo kuchh kahta chala aata hai be-bais ke honTon se
main ashraf-e-kamina-kar ko Thokar pe rakhta tha
so main mehnat-kashon ki jutiyan mimbar pe rakhta tha
main shayad ab nahin hun wo magar ab bhi wahi hun main
ghazab hangama-parwar KHira-sar ab bhi wahi hun main
magar mera tha ek taur aur bhi jo aur hi kuchh tha
magar mera tha ek daur aur bhi jo aur hi kuchh tha
main apne shahr-e-ilm-o-fan ka tha ek naujawan kahin
mere tilmiz-e-ilm-o-fan mere baba ke the ham-sin
mera baba mujhe KHamosh aawazen sunata tha
wo apne-ap mein gum mujh ko pur-haali sikhata tha
wo haiat-dan wo aalim naf-e-shab mein chhat pe jata tha
rasad ka rishta sayyaron se rakhta tha nibhata tha
use KHwahish thi shohrat ki na koi hirs-e-daulat thi
baDe se qutr ki ek durbin us ki zarurat thi
meri man ki tamannaon ka qatil tha wo qallama
meri man meri mahbuba qayamat ki hasina thi
sitam ye hai ye kahne se jhijakta tha wo fahhama
tha behad ishtial-angez bad-qismat o allama
KHalaf us ke KHazaf aur be-nihayat na-KHalaf nikle
hum us ke sare beTe intihai be-sharaf nikle
main us aalim-tarin-e-dahr ki fikrat ka munkir tha
main fastai tha jahil tha aur mantiq ka mahir tha
par ab meri ye shohrat hai ki main bas ek sharabi hun
main apne dudman-e-ilm ki KHana-KHarabi hun
sagan-e-KHuk zad-e-barzan o bazar-e-be-maghzi
meri jaanib ab apne thobaDe shahana karte hain
zina-zade meri izzat bhi gustaKHana karte hain
kamine sharm bhi ab mujh se be-sharmana karte the
mujhe is sham hai apne labon par ek suKHan lana
'ali' darwesh tha tum us ko apna jadd na batlana
wo sibtain-e-mohamad, jin ko jaane kyun bahut arfa
tum un ki dur ki nisbat se bhi yaksar mukar jaana
ki is nisbat se zahar o zaKHm ko sahna zaruri hai
ajab ghairat se ghaltida-ba-KHun rahna zaruri hai
wo shajra jo kanana fahr ghaalib kab marra se
qusai o hashim o sheba abu-talib tak aata tha
wo ek andoh tha tariKH ka andoh-e-sozinda
wo namon ka daraKHt-e-zard tha aur us ki shaKHon ko
kisi tannur ke haizam ki KHakistar hi banna tha
use shoala-zada budash ka ek bistar hi banna tha
hamara faKHr tha faqr aur danish apni punji thi
nasab-namon ke hum ne kitne hi parcham lapeTe hain
mere ham-shahr 'zaryun' ek fusun hai nasl ham, donon
faqat aadam ke beTe hain faqat aadam ke beTe hain
main jab ausan apne khone lagta hun to hansta hun
main tum ko yaad kar ke rone lagta hun to hansta hun
hamesha main KHuda hafiz hamesha main KHuda hafiz
KHuda hafiz
KHuda hafiz
- Book : yani (Pg. 175)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.