vo ek daraḳht
khaḌā hī rahtā thā
hamesha hamesha se
kitnī baar badle mausam
kitnī koñpleñ phūTī
aur jaane kitnī baar saare patte suukh kar jhaḌ ga.e
use ek dam nañgā kar
khaḌā rahā vo phir bhī
ghoñsle bante rahe
anDe kuchh phūTe kuchh sāñpoñ ne Das liye
aur jo panap sake us kī chhāyā meñ
vo jis din ūñchā uḌ sake uḌ chale
khaḌā rahā vo phir bhī
bañdhtā rahā mannat ke laal dhāgoñ se
dabtā rahā mūrtiyoñ ke bojh se
hilā tab bhī nahīñ khaḌā rahā phir bhī
parsoñ maiñ jab gayā us ke paas kuchh rāhat kī aas liye
to dekhā us ko rote hue maiñ ne
kah rahā thā kī thak chukā hai khaḌe khaḌe
uktā chukā hai
apnī gahrī jaḌoñ kī pakaḌ Dhīlī kar
badalnā chāhtā hai kuchh āb-o-havā
ab kaun samjhā.e use
ki khaḌe rahnā us kā svbhāv nahīñ niiti hai us kī
hamesha aise hī rahnā hai use
dhuup meñ jalte hue
mannat ke dhāgoñ se bañdhte hue
bas Thahre hue binā chalte hue
chīḳh
kis qadar zor se uThī
aur phir rah ga.ī ghuT kar
adab kī dīvāroñ se Takrā kar
sūrāḳh kar ga.ī kitne
us bad-baḳht bad-havās aur bad-hāl dil meñ
wo ek daraKHt
khaDa hi rahta tha
hamesha hamesha se
kitni bar badle mausam
kitni konplen phuTi
aur jaane kitni bar sare patte sukh kar jhaD gae
use ek dam nanga kar
khaDa raha wo phir bhi
ghonsle bante rahe
anDe kuchh phuTe kuchh sanpon ne Das liye
aur jo panap sake us ki chhaya mein
wo jis din uncha uD sake uD chale
khaDa raha wo phir bhi
bandhta raha mannat ke lal dhagon se
dabta raha murtiyon ke bojh se
hila tab bhi nahin khaDa raha phir bhi
parson main jab gaya us ke pas kuchh rahat ki aas liye
to dekha us ko rote hue main ne
kah raha tha ki thak chuka hai khaDe khaDe
ukta chuka hai
apni gahri jaDon ki pakaD Dhili kar
badalna chahta hai kuchh aab-o-hawa
ab kaun samjhae use
ki khaDe rahna us ka swbhaw nahin niti hai us ki
hamesha aise hi rahna hai use
dhup mein jalte hue
mannat ke dhagon se bandhte hue
bas Thahre hue bina chalte hue
chiKH
kis qadar zor se uThi
aur phir rah gai ghuT kar
adab ki diwaron se Takra kar
suraKH kar gai kitne
us bad-baKHt bad-hawas aur bad-haal dil mein
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.