daraKHton ke niche
daraḳhtoñ ke nīche
mujhe sabz pattoñ kī bārish meñ dekho
daraḳhtoñ kī shāḳheñ
mujhe Dhāñpne ko gale mil rahī haiñ
havā.eñ mire saañs kī nabz ban kar
dhaḌaktī haiñ aur tez tar ho rahī haiñ
maiñ sūraj kī kirnoñ se apne badan ko bachāne kī zid meñ
yahāñ aa gayā thā
magar saare jangal ke peḌoñ ke nīche
vahī aag hai jis se bachne kī ḳhātir
yahāñ aa gayā thā
daraKHton ke niche
mujhe sabz patton ki barish mein dekho
daraKHton ki shaKHen
mujhe Dhanpne ko gale mil rahi hain
hawaen mere sans ki nabz ban kar
dhaDakti hain aur tez tar ho rahi hain
main suraj ki kirnon se apne badan ko bachane ki zid mein
yahan aa gaya tha
magar sare jangal ke peDon ke niche
wahi aag hai jis se bachne ki KHatir
yahan aa gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.