daraKHton ko dekh kar
apnī marzī se khil nahīñ sakte
apnī marzī se hil nahīñ sakte
jab ugātā hai koī
ugte haiñ
jab baḌhātā hai koī
baḌhte haiñ
jab girātā hai koī
girte haiñ
kaun aaqā hai kaun mālik hai
kuchh nahīñ hai patā daraḳhtoñ ko
phir bhī jaise kisī kī tā’at meñ
mil rahā hai mazā daraḳhtoñ ko
kyā patā kyoñ 'azīz lagtī hai
zindagī kī sazā daraḳhtoñ ko
apni marzi se khil nahin sakte
apni marzi se hil nahin sakte
jab ugata hai koi
ugte hain
jab baDhata hai koi
baDhte hain
jab giraata hai koi
girte hain
kaun aaqa hai kaun malik hai
kuchh nahin hai pata daraKHton ko
phir bhi jaise kisi ki ta’at mein
mil raha hai maza daraKHton ko
kya pata kyon 'aziz lagti hai
zindagi ki saza daraKHton ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.