darbar-e-am
husn jab ham-kalām hotā hai
ishq bhī be-lagām hotā hai
lutf jis par mudām hotā hai
us kā qissa tamām hotā hai
un ko jis roz kaam hotā hai
mujh se us din kalām hotā hai
āshiqoñ kā nahīñ jo ghar koī
hoTaloñ meñ qiyām hotā hai
aap haiñ aur majma-e-aġhyār
roz darbār-e-ām hotā hai
ġhair aatā hai un kī dāvat meñ
mujh ko khānā harām hotā hai
apne ghar par kahāñ vo milte haiñ
rāste meñ salām hotā hai
aire ġhairoñ kā zikr kyā hai 'zarīf'
ab to vo but bhī raam hotā hai
husn jab ham-kalam hota hai
ishq bhi be-lagam hota hai
lutf jis par mudam hota hai
us ka qissa tamam hota hai
un ko jis roz kaam hota hai
mujh se us din kalam hota hai
aashiqon ka nahin jo ghar koi
hoTalon mein qiyam hota hai
aap hain aur majma-e-aghyar
roz darbar-e-am hota hai
ghair aata hai un ki dawat mein
mujh ko khana haram hota hai
apne ghar par kahan wo milte hain
raste mein salam hota hai
aire ghairon ka zikr kya hai 'zarif'
ab to wo but bhi ram hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.