darbar1911
dekh aa.e ham bhī do din rah ke dehlī kī bahār
hukm-e-hākim se huā thā ijtamā-e-intishār
aadmī aur jānvar aur ghar muzayyan aur machine
phuul aur sabza chamak aur raushnī rail aur taar
kerosene aur barq aur petroleum aur tarpin
motor aur airplane aur jamghaTe aur eqtidār
mashriqī patlūñ meñ thī ḳhidmat-guzārī kī umañg
maġhribī shakloñ se shān-e-ḳhud-pasandī āshkār
shaukat-o-iqbāl ke markaz huzūr-e-emperor
zīnat-o-daulat kī devī empress ālī-tabār
bahr-e-hastī le rahā thā be-dareġh añgḌā.iyāñ
thames kī amvāj jamunā se huī thiiñ ham-kanār
inqilāb-e-dahr ke rañgīn naqshe pesh the
thī pa.e-ahl-e-basīrat bāġh-e-ibrat meñ bahār
zarre vīrānoñ se uThte the tamāshā dekhne
chashm-e-hairat ban ga.ī thī gardish-e-lail-o-nahār
jaame se bāhar nigāh-e-nāz-e-fattāhān-e-hind
hadd-e-qānūnī ke andar honorabloñ kī qatār
ḳharch kā total diloñ meñ chuTkiyāñ letā huā
fikr-e-zātī meñ ḳhayāl-e-qaum ġhā.eb fil-mazār
dāvateñ in.aam speacheñ qavā.id fauj camp
izzateñ ḳhushiyāñ ummīdeñ ehtiyāteñ e'tibār
pesh-rau shāhī thī phir his-highness phir ahl-e-jāh
ba.ad is ke shaiḳh sāhab un ke pīchhe ḳhāksār
dekh aae hum bhi do din rah ke dehli ki bahaar
hukm-e-hakim se hua tha ijtama-e-intishaar
aadmi aur jaanwar aur ghar muzayyan aur machine
phul aur sabza chamak aur raushni rail aur tar
kerosene aur barq aur petroleum aur tarpin
motor aur airplane aur jamghaTe aur eqtidar
mashriqi patlun mein thi KHidmat-guzari ki umang
maghribi shaklon se shan-e-KHud-pasandi aashkar
shaukat-o-iqbaal ke markaz huzur-e-emperor
zinat-o-daulat ki dewi empress aali-tabar
bahr-e-hasti le raha tha be-daregh angDaiyan
thames ki amwaj jamuna se hui thin ham-kanar
inqilab-e-dahr ke rangin naqshe pesh the
thi pae-ahl-e-basirat bagh-e-ibrat mein bahaar
zarre viranon se uThte the tamasha dekhne
chashm-e-hairat ban gai thi gardish-e-lail-o-nahaar
jame se bahar nigah-e-naz-e-fattahan-e-hind
hadd-e-qanuni ke andar honorablon ki qatar
KHarch ka total dilon mein chuTkiyan leta hua
fikr-e-zati mein KHayal-e-qaum ghaeb fil-mazar
dawaten inam speachen qawaid fauj camp
izzaten KHushiyan ummiden ehtiyaten e'tibar
pesh-rau shahi thi phir his-highness phir ahl-e-jah
baad is ke shaiKH sahab un ke pichhe KHaksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.