darbari mughanni
maiñ ek dhutkārā huā
darbārī muġhannī huuñ
darbār se dhutkār diye jaane se pahle
mere halq meñ sindūr kī ek puurī shīshī
ulaT dī ga.ī hai
ab merā galā
mahz ġhizā kī naalī ban kar rah gayā hai
mujhe apne gale ke soz-o-sāz se mahrūm kiye jaane se ziyāda afsos
us baat kā hai
ki maiñ apne me.ade meñ utrī huī ashrafiyāñ
marvārīd aur nīlam
shāhī mahal meñ thuuk kar nahīñ aayā
un sab ne mere me.ade meñ apne liye
koī gunjā.ish sur alāpnā chāhūñ
to ye ashrafiyāñ
marvārīd aur nīlam
mere me.ade meñ dahakne lagte haiñ
jis tashtarī meñ mujhe
ye ashrafiyāñ marvārīd aur nīlam pesh kiye jaate the
ab us tashtarī meñ
mahal ke ḳhvāja-sarā ke pāltū kutte ko
rātib diyā jaatā hai
jis ke me.ade meñ koī chiiz
ziyāda der tak nahīñ Tiktī
kabhī kabhī ye kuttā
ḳhvāja-sarā ke pair chāTte chāTte
bādshāh par bhūñkne bhī lagtā hai
kaash maiñ ek baar hī aisā kar saktā
main ek dhutkara hua
darbari mughanni hun
darbar se dhutkar diye jaane se pahle
mere halq mein sindur ki ek puri shishi
ulaT di gai hai
ab mera gala
mahz ghiza ki nali ban kar rah gaya hai
mujhe apne gale ke soz-o-saz se mahrum kiye jaane se ziyaada afsos
us baat ka hai
ki main apne meade mein utri hui ashrafiyan
marwarid aur nilam
shahi mahal mein thuk kar nahin aaya
un sab ne mere meade mein apne liye
koi gunjaish sur alapna chahun
to ye ashrafiyan
marwarid aur nilam
mere meade mein dahakne lagte hain
jis tashtari mein mujhe
ye ashrafiyan marwarid aur nilam pesh kiye jate the
ab us tashtari mein
mahal ke KHwaja-sara ke paltu kutte ko
raatib diya jata hai
jis ke meade mein koi chiz
ziyaada der tak nahin Tikti
kabhi kabhi ye kutta
KHwaja-sara ke pair chaTte chaTte
baadshah par bhunkne bhi lagta hai
kash main ek bar hi aisa kar sakta
- Book : aaj (Pg. 345)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.