dard aaega dabe panw
Interesting Fact
(Mangalmari Jai, 1st December 1954)
aur kuchh der meñ jab phir mire tanhā dil ko
fikr aa legī ki tanhā.ī kā kyā chāra kare
dard aa.egā dabe paañv liye surḳh charāġh
vo jo ik dard dhaḌaktā hai kahīñ dil se pare
shola-e-dard jo pahlū meñ lapak uTThegā
dil kī dīvār pe har naqsh damak uTThegā
halqa-e-zulf kahīñ gosha-e-ruḳhsār kahīñ
hijr kā dasht kahīñ gulshan-e-dīdār kahīñ
lutf kī baat kahīñ pyaar kā iqrār kahīñ
dil se phir hogī mirī baat ki ai dil ai dil
ye jo mahbūb banā hai tirī tanhā.ī kā
ye to mehmāñ hai ghaḌī-bhar kā chalā jā.egā
us se kab terī musībat kā mudāvā hogā
mushta.il ho ke abhī uTTheñge vahshī saa.e
ye chalā jā.egā rah jā.eñge baaqī saa.e
rāt-bhar jin se tirā ḳhūn-ḳharābā hogā
jañg Thahrī hai koī khel nahīñ hai ai dil
dushman-e-jāñ haiñ sabhī saare ke saare qātil
ye kaḌī raat bhī ye saa.e bhī tanhā.ī bhī
dard aur jañg meñ kuchh mel nahīñ hai ai dil
laao sulgāo koī josh-e-ġhazab kā añgār
taish kī ātish-e-jarrār kahāñ hai laao
vo dahaktā huā gulzār kahāñ hai laao
jis meñ garmī bhī hai harkat bhī tavānā.ī bhī
ho na ho apne qabīle kā bhī koī lashkar
muntazir hogā añdhere kī fasīloñ ke udhar
un ko sholoñ ke rajaz apnā patā to deñge
ḳhair ham tak vo na pahuñche bhī sadā to deñge
duur kitnī hai abhī sub.h batā to deñge
aur kuchh der mein jab phir mere tanha dil ko
fikr aa legi ki tanhai ka kya chaara kare
dard aaega dabe panw liye surKH charagh
wo jo ek dard dhaDakta hai kahin dil se pare
shola-e-dard jo pahlu mein lapak uTThega
dil ki diwar pe har naqsh damak uTThega
halqa-e-zulf kahin gosha-e-ruKHsar kahin
hijr ka dasht kahin gulshan-e-didar kahin
lutf ki baat kahin pyar ka iqrar kahin
dil se phir hogi meri baat ki ai dil ai dil
ye jo mahbub bana hai teri tanhai ka
ye to mehman hai ghaDi-bhar ka chala jaega
us se kab teri musibat ka mudawa hoga
mushtail ho ke abhi uTThenge wahshi sae
ye chala jaega rah jaenge baqi sae
raat-bhar jin se tera KHun-KHaraba hoga
jang Thahri hai koi khel nahin hai ai dil
dushman-e-jaan hain sabhi sare ke sare qatil
ye kaDi raat bhi ye sae bhi tanhai bhi
dard aur jang mein kuchh mel nahin hai ai dil
lao sulgao koi josh-e-ghazab ka angar
taish ki aatish-e-jarrar kahan hai lao
wo dahakta hua gulzar kahan hai lao
jis mein garmi bhi hai harkat bhi tawanai bhi
ho na ho apne qabile ka bhi koi lashkar
muntazir hoga andhere ki fasilon ke udhar
un ko sholon ke rajaz apna pata to denge
KHair hum tak wo na pahunche bhi sada to denge
dur kitni hai abhi subh bata to denge
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 274)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.