dard-e-dil
Interesting Fact
1912
dard hai dil ke liye aur dil insāñ ke liye
tāzgī barg-o-samar kī chamanistāñ ke liye
sāz-e-āhañg-e-junūñ tār-e-rag-e-jāñ ke liye
be-ḳhudī shauq kī be-sar-o-sāmāñ ke liye
kyā kahūñ kaun havā sar meñ bharī rahtī hai
be piye āTh-pahr be-ḳhabarī rahtī hai
na huuñ shā.ir na valī huuñ na huuñ ejāz-e-bayāñ
bazm-e-qudrat meñ huuñ tasvīr kī sūrat hairāñ
dil meñ ik rañg hai lafzoñ se jo hotā hai ayaañ
lai kī muhtāj nahīñ hai mirī fariyād-o-fuġhāñ
shauq-e-shohrat havas-e-garmī-e-bāzār nahīñ
dil vo yūsuf hai jise fikr-e-ḳharīdār nahīñ
aur hoñge jinheñ rahtā hai muqaddar se gilā
aur hoñge jinheñ miltā nahīñ mehnat kā silā
maiñ ne jo ġhaib kī sarkār se māñgā vo milā
jo aqīda thā mire dil kā hilā.e na hilā
kyuuñ Darāte haiñ abas gabrū musalmāñ mujh ko
kyā miTā.egī bhalā gardish-e-daurāñ mujh ko
kyā zamāna pe khule be-ḳhabarī kā mirī raaz
tā.ir-e-fikr meñ paidā to ho itnī parvāz
kyuuñ tabī.at ko na ho be-ḳhudī-e-shauq pe naaz
hazrat-e-abr ke qadmoñ pe hai ye farq-e-niyāz
faḳhr hai mujh ko usī dar se sharaf paane kā
maiñ sharābī huuñ usī riñd ke maiḳhāne kā
dil mirā daulat-e-duniyā kā talabgār nahīñ
ba-ḳhudā ḳhāk-nashīnī se mujhe aar nahīñ
mast huuñ hubb-e-vatan se koī mai-ḳhvār nahīñ
mujh ko maġhrib kī numā.ish se sarokār nahīñ
apne hī dil kā piyāla piye mad.hosh huuñ maiñ
jhūTī piitā nahīñ maġhrib kī vo mai-nosh huuñ maiñ
qaum ke dard se huuñ soz-e-vafā kī tasvīr
merī rag rag se hai paidā tap-e-ġham kī tāsīr
hai magar aaj nazar meñ vo bahār-e-dil-gīr
kar diyā dil ko farishtoñ ne tarab ke tasḳhīr
ye nasīm-e-saharī aaj ḳhabar laa.ī hai
saal guzrā mire gulshan meñ bahār aa.ī hai
qaum meñ aaTh baras se hai ye gulshan shādāb
chehra-e-gul pe yahāñ pās-e-adab kī hai naqāb
mere ā.īna-e-dil meñ hai faqat is kā javāb
us ke kāñToñ pe kiyā maiñ ne nisār apnā shabāb
kaam shabnam kā liyā dīda-e-tar se apne
maiñ ne sīñchā hai use ḳhūn-e-jigar se apne
har baras rañg pe aatā hī gayā ye gulzār
phuul tahzīb ke khilte ga.e miTte ga.e ḳhaar
pattī pattī se huā rañg-e-vafā kā iz.hār
naujavānān-e-chaman ban ga.e tasvīr-e-bahār
rañg-e-gul dekh ke dil qaum kā dīvāna huā
jo thā bad-ḳhvāh-e-chaman sabza-e-begāna huā
bū-e-naḳhvat se nahīñ yaañ ke guloñ ko sarokār
hai buzurgoñ kā adab in kī javānī kā siñgār
ilm-o-īmāñ kī tarāvat kā diloñ meñ hai guzār
dho ga.e chashma-e-aḳhlāq se sīnoñ ke ġhubār
rañg dikhlātī hai yuuñ dil kī safā yāroñ meñ
raushnī sub.h kī jis tarah ho gulzāroñ meñ
kis ko ma.alūm thī is gulshan-e-aḳhlāq kī raah
maiñ ne phūloñ ko kiyā rañg-e-vafā se āgāh
ab to is baaġh pe hai sab kī mohabbat kī nigāh
jo ki paude the shajar ho ga.e māshā-allāh
kyā kahūñ rañg-e-javānī meñ jo is raag ke the
bāġhbāñ ho ga.e gulchīñ jo mere baaġh ke the
go ki baaqī nahīñ kaifiyyat-e-tūfān-e-shabāb
phañs ke janjāl meñ duniyā ke ye qissa huā ḳhvāb
mast rahtā hai magar ab bhī dil-e-ḳhāna-ḳharāb
shaam ko baiTh ke mahfil meñ luñDhātā huuñ sharāb
nashsha-e-ilm kī ummīd pe jiine vaale
simaT aate haiñ sar-e-shām se piine vaale
aur hī rañg pe hai aaj bahār-e-gulshan
sair ke vāste aa.e haiñ azīzān-e-vatan
farsh āñkheñ kiye baiThe haiñ javānān-e-chaman
dil meñ tūfān-e-tarab lab pe mohabbat ke suḳhan
kaun hai aaj jo is bazm meñ masrūr nahīñ
rūh-e-sarshār bhī khiñch aa.e to kuchh duur nahīñ
magar afsos ye duniyā hai maqām-e-ibrat
rañj kī yaad dilātā hai ḳhayāl-e-rāhat
aaj yaad aatī hai un phūloñ kī mujh ko sūrat
khilte hī kar ga.e jo mere chaman se rehlat
chashm-e-bad-dūr guloñ kī ye bharī Daalī hai
chand phūloñ kī magar is meñ jagah ḳhālī hai
ye vo gul the jinheñ arbāb-e-nazar ne royā
bhaa.ī ne bahnoñ ne mādar ne pidar ne royā
ḳhaak ronā thā jo is dīda-e-tar ne royā
muddatoñ in ko mire qalb-o-jigar ne royā
dil ke kuchh dāġh-e-mohabbat haiñ nishānī un kī
bachpanā dekh ke dekhī na javānī un kī
ḳhair duniyā meñ kabhī soz hai aur kabhī hai saaz
naunihālān-e-chaman kī rahe ab umr darāz
bhaa.ī se baḌh ke mujhe haiñ ye mere māya-nāz
mere monis haiñ yahī aur yahī mere hamrāz
mar ke bhī ruuh mirī dil kī tarah shaad rahe
maiñ rahūñ yā na rahūñ ye chaman ābād rahe
dard hai dil ke liye aur dil insan ke liye
tazgi barg-o-samar ki chamanistan ke liye
saz-e-ahang-e-junun tar-e-rag-e-jaan ke liye
be-KHudi shauq ki be-sar-o-saman ke liye
kya kahun kaun hawa sar mein bhari rahti hai
be piye aaTh-pahr be-KHabari rahti hai
na hun shair na wali hun na hun ejaz-e-bayan
bazm-e-qudrat mein hun taswir ki surat hairan
dil mein ek rang hai lafzon se jo hota hai ayan
lai ki muhtaj nahin hai meri fariyaad-o-fughan
shauq-e-shohrat hawas-e-garmi-e-bazar nahin
dil wo yusuf hai jise fikr-e-KHaridar nahin
aur honge jinhen rahta hai muqaddar se gila
aur honge jinhen milta nahin mehnat ka sila
main ne jo ghaib ki sarkar se manga wo mila
jo aqida tha mere dil ka hilae na hila
kyun Daraate hain abas gabru musalman mujh ko
kya miTaegi bhala gardish-e-dauran mujh ko
kya zamana pe khule be-KHabari ka meri raaz
tair-e-fikr mein paida to ho itni parwaz
kyun tabiat ko na ho be-KHudi-e-shauq pe naz
hazrat-e-abr ke qadmon pe hai ye farq-e-niyaz
faKHr hai mujh ko usi dar se sharaf pane ka
main sharabi hun usi rind ke maiKHane ka
dil mera daulat-e-duniya ka talabgar nahin
ba-KHuda KHak-nashini se mujhe aar nahin
mast hun hubb-e-watan se koi mai-KHwar nahin
mujh ko maghrib ki numaish se sarokar nahin
apne hi dil ka piyala piye madhosh hun main
jhuTi pita nahin maghrib ki wo mai-nosh hun main
qaum ke dard se hun soz-e-wafa ki taswir
meri rag rag se hai paida tap-e-gham ki tasir
hai magar aaj nazar mein wo bahaar-e-dil-gir
kar diya dil ko farishton ne tarab ke tasKHir
ye nasim-e-sahari aaj KHabar lai hai
sal guzra mere gulshan mein bahaar aai hai
qaum mein aaTh baras se hai ye gulshan shadab
chehra-e-gul pe yahan pas-e-adab ki hai naqab
mere aaina-e-dil mein hai faqat is ka jawab
us ke kanTon pe kiya main ne nisar apna shabab
kaam shabnam ka liya dida-e-tar se apne
main ne sincha hai use KHun-e-jigar se apne
har baras rang pe aata hi gaya ye gulzar
phul tahzib ke khilte gae miTte gae KHar
patti patti se hua rang-e-wafa ka izhaar
naujawanan-e-chaman ban gae taswir-e-bahaar
rang-e-gul dekh ke dil qaum ka diwana hua
jo tha bad-KHwah-e-chaman sabza-e-begana hua
bu-e-naKHwat se nahin yan ke gulon ko sarokar
hai buzurgon ka adab in ki jawani ka singar
ilm-o-iman ki tarawat ka dilon mein hai guzar
dho gae chashma-e-aKHlaq se sinon ke ghubar
rang dikhlati hai yun dil ki safa yaron mein
raushni subh ki jis tarah ho gulzaron mein
kis ko malum thi is gulshan-e-aKHlaq ki rah
main ne phulon ko kiya rang-e-wafa se aagah
ab to is bagh pe hai sab ki mohabbat ki nigah
jo ki paude the shajar ho gae masha-allah
kya kahun rang-e-jawani mein jo is rag ke the
baghban ho gae gulchin jo mere bagh ke the
go ki baqi nahin kaifiyyat-e-tufan-e-shabab
phans ke janjal mein duniya ke ye qissa hua KHwab
mast rahta hai magar ab bhi dil-e-KHana-KHarab
sham ko baiTh ke mahfil mein lunDhata hun sharab
nashsha-e-ilm ki ummid pe jine wale
simaT aate hain sar-e-sham se pine wale
aur hi rang pe hai aaj bahaar-e-gulshan
sair ke waste aae hain azizan-e-watan
farsh aankhen kiye baiThe hain jawanan-e-chaman
dil mein tufan-e-tarab lab pe mohabbat ke suKHan
kaun hai aaj jo is bazm mein masrur nahin
ruh-e-sarshaar bhi khinch aae to kuchh dur nahin
magar afsos ye duniya hai maqam-e-ibrat
ranj ki yaad dilata hai KHayal-e-rahat
aaj yaad aati hai un phulon ki mujh ko surat
khilte hi kar gae jo mere chaman se rehlat
chashm-e-bad-dur gulon ki ye bhari Dali hai
chand phulon ki magar is mein jagah KHali hai
ye wo gul the jinhen arbab-e-nazar ne roya
bhai ne bahnon ne madar ne pidar ne roya
KHak rona tha jo is dida-e-tar ne roya
muddaton in ko mere qalb-o-jigar ne roya
dil ke kuchh dagh-e-mohabbat hain nishani un ki
bachpana dekh ke dekhi na jawani un ki
KHair duniya mein kabhi soz hai aur kabhi hai saz
naunihaalan-e-chaman ki rahe ab umr daraaz
bhai se baDh ke mujhe hain ye mere maya-naz
mere monis hain yahi aur yahi mere hamraaz
mar ke bhi ruh meri dil ki tarah shad rahe
main rahun ya na rahun ye chaman aabaad rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.