dard hota hai
bahr-kaif jo dard hotā hai
vo dard hotā hai
eḌī meñ kāñTā chubhe
to badan tilmilātā hai
dil zabt kartā hai rotā hai
jo barg Tahnī se girtā hai
vo zard hotā hai
chakkī ke pāToñ meñ daane to piste haiñ
paanī se nikle to machhlī taḌaptī hai
taa.ir qafas meñ
giraftār hoñ to phaḌakte haiñ
bādal se bādal mileñ to kaḌakte haiñ
bijlī chamaktī hai
barsāt hotī hai
jo hijr kī raat hotī hai
vo hijr kī raat hotī hai
ham apnī vahshat meñ
jo bhes badleñ
koī ruup dhāreñ
samundar baloeñ yā dīvār chāTeñ
tasavvur kī jhilmil meñ
din raat kāTeñ
pahāḌoñ pe chhuTTī manāne ko jaa.eñ
nadī meñ nahā.eñ
ġhizāoñ kī lazzat meñ sarshār hoñ
roz poshāk par ek poshāk badleñ
kisī itr kī phuvār chhiḌkeñ
charāġhoñ kī rañgīn lau meñ
bhare ras bhare hoñT chhū leñ
sanobar ke bāġhoñ meñ ghūmeñ
magar bojh dil kā jo hotā hai
vo to ba-dastūr hotā hai
andar hī andar kahīñ
saat pardoñ meñ mastūr hotā hai!
maiñ aaj kī sub.h
ma.amūl se qabl jaagā huuñ
ḳhvābīda beToñ ke gāloñ pe
bosa diyā hai
vazū kar ke sajda kiyā hai
bahut der tak
āltī-pāltī maar kar
ḳhud meñ gum ho ke
yogā ke aasan meñ baiThā huuñ
sūkhe hue saare gamloñ ko
paanī diyā hai
chhatoñ khiḌkiyoñ aur zīnoñ meñ
makḌī ke jāloñ ko poñchā hai
chiḌiyoñ ko
roTī ke reze bhī Daale haiñ
lekin jo chhāle mire dil ke haiñ
vo bahr-kaif chhāle haiñ
chhāloñ kī sozish se
taklīf hotī hai
dil zabt kartā hai rotā hai
jo dard hotā hai
vo dard hotā hai!!
bahr-kaif jo dard hota hai
wo dard hota hai
eDi mein kanTa chubhe
to badan tilmilata hai
dil zabt karta hai rota hai
jo barg Tahni se girta hai
wo zard hota hai
chakki ke paTon mein dane to piste hain
pani se nikle to machhli taDapti hai
tair qafas mein
giraftar hon to phaDakte hain
baadal se baadal milen to kaDakte hain
bijli chamakti hai
barsat hoti hai
jo hijr ki raat hoti hai
wo hijr ki raat hoti hai
hum apni wahshat mein
jo bhes badlen
koi rup dhaaren
samundar baloen ya diwar chaTen
tasawwur ki jhilmil mein
din raat kaTen
pahaDon pe chhuTTi manane ko jaen
nadi mein nahaen
ghizaon ki lazzat mein sarshaar hon
roz poshak par ek poshak badlen
kisi itr ki phuwar chhiDken
charaghon ki rangin lau mein
bhare ras bhare honT chhu len
sanobar ke baghon mein ghumen
magar bojh dil ka jo hota hai
wo to ba-dastur hota hai
andar hi andar kahin
sat pardon mein mastur hota hai!
main aaj ki subh
mamul se qabl jaga hun
KHwabida beTon ke galon pe
bosa diya hai
wazu kar ke sajda kiya hai
bahut der tak
aalti-palti mar kar
KHud mein gum ho ke
yoga ke aasan mein baiTha hun
sukhe hue sare gamlon ko
pani diya hai
chhaton khiDkiyon aur zinon mein
makDi ke jalon ko poncha hai
chiDiyon ko
roTi ke reze bhi Dale hain
lekin jo chhaale mere dil ke hain
wo bahr-kaif chhaale hain
chhaalon ki sozish se
taklif hoti hai
dil zabt karta hai rota hai
jo dard hota hai
wo dard hota hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.