dard ki konpal
vaqt se pahle
kaise vo ik lamha aa.e
jab tire aañsū
sīñcheñ dard kī koñpal dil meñ
terī zardī-e-ruḳh kā charchā phaile
log tire mar jaane yā dobāra
jī uThne par
ta.aziyat tahniyat bhejeñ
terī aañkh se Tapkeñ
merī bāteñ tere lahū meñ
mere lams kā
andhā-pan jaag uThe
phir to ro.e merī nazar
sab ke sāmne
mujh se chhup kar
waqt se pahle
kaise wo ek lamha aae
jab tere aansu
sinchen dard ki konpal dil mein
teri zardi-e-ruKH ka charcha phaile
log tere mar jaane ya dobara
ji uThne par
taziyat tahniyat bhejen
teri aankh se Tapken
meri baaten tere lahu mein
mere lams ka
andha-pan jag uThe
phir to roe meri nazar
sab ke samne
mujh se chhup kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.