dard ki lazzat baqi hai
kyā TuuT ga.ī haiñ zanjīreñ
kyā qaid se bandī chhūT ga.e
kyā dard ke daftar band hue
kyā jabr se haarā koī nahīñ
kyā bhuuk kā maarā koī nahīñ
kyā khet kā mālik dahqāñ hai
kyā khet se rozī paatā hai
kyā khet se rozī paatā hai
kyā haar ke shā.ir baiTh rahe
kyā sher baḌhā sab Duub ga.e
ab daar pe rakkhe kaun diye
go raat sitam kī baaqī hai
phir koī masīhā aa.egā
yā apnī salībeñ le le kar
har dard kā maarā jā.egā
kya TuT gai hain zanjiren
kya qaid se bandi chhuT gae
kya dard ke daftar band hue
kya jabr se haara koi nahin
kya bhuk ka mara koi nahin
kya khet ka malik dahqan hai
kya khet se rozi pata hai
kya khet se rozi pata hai
kya haar ke shair baiTh rahe
kya sher baDha sab Dub gae
ab dar pe rakkhe kaun diye
go raat sitam ki baqi hai
phir koi masiha aaega
ya apni saliben le le kar
har dard ka mara jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.