dard tanhai ka
niim ke peḌ meñ aTkā huā chāñd
niim ke peḌ se chhan-chhan ke barastā huā dard
dard yādoñ-bharī tanhā.ī kā
dard un yādoñ kī rānā.ī kā
dard shabnam ke bayābāñ meñ mirī pyaas kī zebā.ī kā
dard har lamhe kī jaltī huī pinhā.ī kā
ishq-o-ehsās-e-shakebā.ī kā dard
vaqt ke chehre pe hai guzrī huī shaam kī gard
raat ke haath haiñ sard
niim ke peḌ se chhan-chhan ke barastā huā dard
aur har dard hai mānind
niim ke peḌ pe aTkā huā chāñd
nim ke peD mein aTka hua chand
nim ke peD se chhan-chhan ke barasta hua dard
dard yaadon-bhari tanhai ka
dard un yaadon ki ranai ka
dard shabnam ke bayaban mein meri pyas ki zebai ka
dard har lamhe ki jalti hui pinhai ka
ishq-o-ehsas-e-shakebai ka dard
waqt ke chehre pe hai guzri hui sham ki gard
raat ke hath hain sard
nim ke peD se chhan-chhan ke barasta hua dard
aur har dard hai manind
nim ke peD pe aTka hua chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.