dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
dard tanhā.ī kī paslī se nikal kar aayā
raat kā haath lagā aur havā TuuT ga.ī
sūrajī aag meñ jhulsā gayā saayā saayā
ruuh kī aañkh khulī chāñd shikasta paayā
niile ākāsh ke nezoñ pe siyāhī chamkī
vaqt ke jism meñ lamhoñ kī kamāneñ TūTīñ
paañv meñ phāñs chubhī aañkh meñ rasta niklā
dard tanhā.ī kī paslī se nikal kar aayā
dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
raat ka hath laga aur hawa TuT gai
suraji aag mein jhulsa gaya saya saya
ruh ki aankh khuli chand shikasta paya
nile aakash ke nezon pe siyahi chamki
waqt ke jism mein lamhon ki kamanen TuTin
panw mein phans chubhi aankh mein rasta nikla
dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.