dariche ke pas
raat bhiig rahī hai
āhista āhista
chāñd maddham ho rahā hai
chashm-e-tar meñ
guzishta ḳhvāb ke paikar liye
khaḌī huuñ darīche ke paas
sūraj kī kirneñ
ā.eñgī dabe paañv
mere jism ko
apnī tapish se bhar deñgī
aur tumhāre ḳhayāloñ se
mahrūm kar deñgī
phir shurūa hogā
intizār kā
be-karāñ silsila
raat bhig rahi hai
aahista aahista
chand maddham ho raha hai
chashm-e-tar mein
guzishta KHwab ke paikar liye
khaDi hun dariche ke pas
suraj ki kirnen
aaengi dabe panw
mere jism ko
apni tapish se bhar dengi
aur tumhaare KHayalon se
mahrum kar dengi
phir shurua hoga
intizar ka
be-karan silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.