dariche khole rakhta hun
Interesting Fact
2015
mirī socheñ kabhī mujh ko
bahut ranjūr kartī haiñ
mujhī se mujh ko kosoñ duur kartī haiñ
maiñ aksar sochtā huuñ
phir kisī se baat kar ke
vaqt kā lamha koī zanjīr karnā hai
dil-e-sāda-varaq par naam ik tahrīr karnā hai
magar maiñ apnī sochoñ par
amal phir bhī nahīñ kartā
jo mere chāhne vaale haiñ
mujh se ḳhush nahīñ rahte
maiñ ye bhī jāntā huuñ
vo ba-zāhir kuchh nahīñ kahte
magar maiñ ḳhāna-e-dil ke darīche
khole rakhtā huuñ
meri sochen kabhi mujh ko
bahut ranjur karti hain
mujhi se mujh ko koson dur karti hain
main aksar sochta hun
phir kisi se baat kar ke
waqt ka lamha koi zanjir karna hai
dil-e-sada-waraq par nam ek tahrir karna hai
magar main apni sochon par
amal phir bhi nahin karta
jo mere chahne wale hain
mujh se KHush nahin rahte
main ye bhi jaanta hun
wo ba-zahir kuchh nahin kahte
magar main KHana-e-dil ke dariche
khole rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.