darichon ke tale
aaj phir zehn ke in band darīchoñ ke tale
dil meñ so.e hue ehsās ne karvaT badlī
aur chupke se mahak uTThā tirī yaad kā phuul
zaḳhm ne aañkh malī yaas ne karvaT badlī
gungunāne lage majrūh tamannāoñ ke lab
ruuh ke jism se naġhmāt ke dhāre phūTe
barf maazī kī pighalne lagī qatra qatra
dil se pur-soz ḳhayālāt ke dhāre phūTe
vaqt kī dhuul meñ lipTe hue yādoñ ke charāġh
tere chehre kī ra.ūnat ko jilā dene lage
merī palkoñ se Tapakte hue ashkoñ ke guhar
mujh ko merī hī mohabbat kā sila dene lage
muddatoñ baa'd ik aḳhbār ke saf.ha pe mujhe
terī tasvīr nazar aa.ī kisī aur ke saath
tere pahlū meñ koī māh-jabīñ baiThī thī
na.e tevar na.e andāz na.e taur ke saath
karvaTeñ lene lagīñ dard kī lahreñ dil meñ
yaad kī raakh fazāoñ meñ bikharne sī lagī
zehn meñ guuñj uThī terī khanaktī āvāz
terī tahrīr nigāhoñ meñ ubharne sī lagī
ḳhud-baḳhud chashm se kuchh ashk ravāñ hone lage
apne māhaul pe hālāt pe ronā aaya
ka.ī sāloñ se jo bīmār nazar aatī haiñ
unhī farsūda rivāyāt pe ronā aaya
tere chehre meñ nazar aaya kisī aur kā ruup
yak-ba-yak sho.ala-e-ehsās tapāñ hone lagā
tere pahlū meñ jo ik māh-jabīñ baiThī thī
us kī sūrat pe mujhe apnā gumāñ hone lagā
mere hoñToñ pe tabassum kī kiran jaag uThī
dil ko soī huī ulfat kā ḳhayāl aa hī gayā
kaj-adā.ī meñ tirī raaz nihāñ hai kaisā
jaane kyoñ zehn meñ ye ek savāl aa hī gayā
terī tasvīr ne ye raaz magar faash kiyā
log kis tarah badal jaate haiñ dhīre dhīre
mom kī tarah badan un kā pighal jaatā hai
ik na.e sāñche meñ Dhal jaate haiñ dhīre dhīre
aaj phir zehn ke in band darichon ke tale
dil mein soe hue ehsas ne karwaT badli
aur chupke se mahak uTTha teri yaad ka phul
zaKHm ne aankh mali yas ne karwaT badli
gungunane lage majruh tamannaon ke lab
ruh ke jism se naghmat ke dhaare phuTe
barf mazi ki pighalne lagi qatra qatra
dil se pur-soz KHayalat ke dhaare phuTe
waqt ki dhul mein lipTe hue yaadon ke charagh
tere chehre ki raunat ko jila dene lage
meri palkon se Tapakte hue ashkon ke guhar
mujh ko meri hi mohabbat ka sila dene lage
muddaton ba'd ek aKHbar ke safha pe mujhe
teri taswir nazar aai kisi aur ke sath
tere pahlu mein koi mah-jabin baiThi thi
nae tewar nae andaz nae taur ke sath
karwaTen lene lagin dard ki lahren dil mein
yaad ki rakh fazaon mein bikharne si lagi
zehn mein gunj uThi teri khanakti aawaz
teri tahrir nigahon mein ubharne si lagi
KHud-baKHud chashm se kuchh ashk rawan hone lage
apne mahaul pe haalat pe rona aaya
kai salon se jo bimar nazar aati hain
unhi farsuda riwayat pe rona aaya
tere chehre mein nazar aaya kisi aur ka rup
yak-ba-yak shoala-e-ehsas tapan hone laga
tere pahlu mein jo ek mah-jabin baiThi thi
us ki surat pe mujhe apna guman hone laga
mere honTon pe tabassum ki kiran jag uThi
dil ko soi hui ulfat ka KHayal aa hi gaya
kaj-adai mein teri raaz nihan hai kaisa
jaane kyon zehn mein ye ek sawal aa hi gaya
teri taswir ne ye raaz magar fash kiya
log kis tarah badal jate hain dhire dhire
mom ki tarah badan un ka pighal jata hai
ek nae sanche mein Dhal jate hain dhire dhire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.