darida qaba
ḳhudā kī taraf se
vadī.at huī hai
mujhe soch kī ahliyat to
maiñ ye kyoñ na sochūñ
kahāñ hai vo
jis kī atā
ruuh bhī jism bhī zindagī bhī hai
lekin yahī sochne par
anal-haq kī āvāz kyoñ daar par chaḌh ga.ī
payambar ko maslūb kyoñ kar diyā
jām-e-sam zehn-e-bāliġh kī taqdīr kaise banā
kyoñ ye pahra lagā soch par
aaj phir
maiñ barahna huuñ
mujh ko darīda qabā hī sahī
kuchh to do
KHuda ki taraf se
wadiat hui hai
mujhe soch ki ahliyat to
main ye kyon na sochun
kahan hai wo
jis ki ata
ruh bhi jism bhi zindagi bhi hai
lekin yahi sochne par
anal-haq ki aawaz kyon dar par chaDh gai
payambar ko maslub kyon kar diya
jam-e-sam zehn-e-baaligh ki taqdir kaise bana
kyon ye pahra laga soch par
aaj phir
main barahna hun
mujh ko darida qaba hi sahi
kuchh to do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.