dariya-e-charls ke kinare ek nazm
ye girjā hai ki mujh par āsmāñ kī mehrbānī hai
salībī-jañg meñ saare sipāhī kaam aa.e
ab kise paanī pilāogī tum apne dāman-e-tar se
uThāogī kise phaile hue baazū pe niile nāḳhunoñ par rok logī
aañkh chehra
jab zamīñ par raakh hogī aur miTTī phail jā.egī
tanābeñ raakh ho jaa.eñ to miTTī phail jaatī hai
zamīnoñ āsmānoñ par
so girjā mujh pe niile āsmāñ kī mehrbānī hai
ye dariyā hai ki mujh par āsmāñ kī mehrbānī hai
zamīñ jab raakh ho jaa.e to dariyā phail jaatā hai
aur us ko rok letī ho tum apnī ḳhushk āñkhoñ meñ
badan kī aaḌ de kar
jab sipāhī rāste meñ baiTh jaate haiñ
bichhā dete haiñ saaya pattiyoñ phūloñ kināroñ kā
tumhāre dāman-e-tar kā
utar jaate haiñ giilī jhāḌiyoñ meñ aag le kar
āsmāñ dekhā nahīñ jaatā
to bhīgī ret ko sūkhī havā meñ chhānte haiñ
aur miTTī phail jaatī hai
ye miTTī mujh ko kal tak āsmānoñ meñ uḌātī thī
ye dariyā mujh ko kal tak khīñch laatā thā zamīnoñ par
ye miTTī phailtī jaatī hai
dariyā sūkhtā jaatā hai
mujh par āsmāñ kī mehrbānī hai
ye girja hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai
salibi-jang mein sare sipahi kaam aae
ab kise pani pilaogi tum apne daman-e-tar se
uThaogi kise phaile hue bazu pe nile naKHunon par rok logi
aankh chehra
jab zamin par rakh hogi aur miTTi phail jaegi
tanaben rakh ho jaen to miTTi phail jati hai
zaminon aasmanon par
so girja mujh pe nile aasman ki mehrbani hai
ye dariya hai ki mujh par aasman ki mehrbani hai
zamin jab rakh ho jae to dariya phail jata hai
aur us ko rok leti ho tum apni KHushk aankhon mein
badan ki aaD de kar
jab sipahi raste mein baiTh jate hain
bichha dete hain saya pattiyon phulon kinaron ka
tumhaare daman-e-tar ka
utar jate hain gili jhaDiyon mein aag le kar
aasman dekha nahin jata
to bhigi ret ko sukhi hawa mein chhante hain
aur miTTi phail jati hai
ye miTTi mujh ko kal tak aasmanon mein uDati thi
ye dariya mujh ko kal tak khinch lata tha zaminon par
ye miTTi phailti jati hai
dariya sukhta jata hai
mujh par aasman ki mehrbani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.