Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dariya-e-ganga

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    gangā dariyā lahroñ ra.anā.ī kyā kahnā

    kaisā pyārā pyārā hai is bal khā-khā kar kahnā

    koh-e-himāla ūñchī jhīloñ se nikal kar aatā hai

    vādiyoñ aur nasheboñ meñ tezī se chal kar aatā hai

    laḌtā muḌtā girtā paḌtā aage baḌhtā rahtā hai

    pag-pag par is pal-pal meñ paanī chaḌhtā rahtā hai

    jharnā ban-ban kar girne meñ manzar ḳhuub dikhātā hai

    pighlī huī chāñdī chādar patthar par phailātā hai

    maidānoñ meñ aakar dhīmī dhīmī chaal se chaltā hai

    lahrātā hai iThlātā hai bal khātā hai machaltā hai

    is pyārī pyārī lahreñ dekh ke dil lahrātā hai

    vo bhī paanī ke dhāre ke saath bahtā jaatā hai

    is pyārī shobhā dekh ke sab nar-nārī jiite haiñ

    āñkhoñ āñkhoñ meñ is bahte amrit ko piite haiñ

    chhoTe-chhoTe aur bhī dariyā is meñ milte jaate haiñ

    jaise bachche humak humak kar maañ god meñ aate haiñ

    is dariyā se niklī haiñ aisī pyārī pyārī nahreñ

    dil ko lubhāne vaalī haiñ jin bāñkī bāñkī lahreñ

    kartī haiñ sairāb ye nahreñ bhārat ke maidānoñ ko

    tāqat ye de detī haiñ lākhoñ kamzor kisānoñ ko

    lākhoñ bīghe khetī hotī hai is se harī-bharī

    jangal sahrā khet chaman bante haiñ in se sabz-parī

    nahreñ ye lākhoñ insānoñ ke dil sahārā haiñ

    nahreñ ye sab un āshāoñ bahtā dhārā haiñ

    bahte rahnā is nit ye baat batātā rahtā hai

    jo paiham kuchh kartā hai phal us paatā rahtā hai

    bhārat ḳhidmat se is ne itnī azmat paa.ī hai

    ḳhidmat kar ke ḳhidmat ḳhuub is ne raah dikhā.ī hai

    ham bhī apnī koshish se sarsabz banā.eñ bhārat ko

    aapas ke sab jhagḌe se āzād karā.eñ bhārat ko

    gangā dariyā kyā hai 'nayyar' ye allah rahmat hai

    gangā dariyā kyā hai hamāre des ke haq meñ ne.amat hai

    ganga dariya ki lahron ki ranai ka kya kahna

    kaisa pyara pyara hai is ka bal kha-kha kar kahna

    koh-e-himala ki unchi jhilon se nikal kar aata hai

    wadiyon aur nashebon mein tezi se chal kar aata hai

    laDta muDta girta paDta aage baDhta rahta hai

    pag-pag par is ka pal-pal mein pani chaDhta rahta hai

    jharna ban-ban kar girne mein manzar KHub dikhata hai

    pighli hui chandi ki chadar patthar par phailata hai

    maidanon mein aakar dhimi dhimi chaal se chalta hai

    lahraata hai iThlata hai bal khata hai machalta hai

    is ki pyari pyari lahren dekh ke dil lahraata hai

    wo bhi pani ke dhaare ke sath hi bahta jata hai

    is ki pyari shobha dekh ke sab nar-nari jite hain

    aankhon hi aankhon mein is bahte amrit ko pite hain

    chhoTe-chhoTe aur bhi dariya is mein milte jate hain

    jaise bachche humak humak kar man ki god mein aate hain

    is dariya se nikli hain aisi pyari pyari nahren

    dil ko lubhane wali hain jin ki banki banki lahren

    karti hain sairab ye nahren bhaarat ke maidanon ko

    taqat ye de deti hain lakhon kamzor kisanon ko

    lakhon hi bighe kheti hoti hai is se hari-bhari

    jangal sahra khet chaman bante hain in se sabz-pari

    nahren ye lakhon hi insanon ke dil ka sahaara hain

    nahren ye sab un ki aashaon ka bahta dhaara hain

    bahte rahna is ka nit ye baat batata rahta hai

    jo paiham kuchh karta hai phal us ka pata rahta hai

    bhaarat ki KHidmat se is ne itni azmat pai hai

    KHidmat kar ke KHidmat ki KHub is ne rah dikhai hai

    hum bhi apni koshish se sarsabz banaen bhaarat ko

    aapas ke sab jhagDe se aazad karaen bhaarat ko

    ganga dariya kya hai 'nayyar' ye allah ki rahmat hai

    ganga dariya kya hai hamare des ke haq mein neamat hai

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now