dariya ke kinare
paanī bahtā chaltā hai
kuchh dukh sahtā chaltā hai
sannāTā sā kuchh chhāyā hai
paanī kuchh murjhāyā hai
lahreñ haiñ kuchh mailī mailī
maujeñ haiñ kuchh phailī phailī
taare jhuk jhuk paḌte haiñ
patte chup chup jhaḌte haiñ
abr ke TukḌe uḌte haiñ
kaTte haiñ phir juḌte haiñ
taare jham jham hote haiñ
taa.ir chupke sote haiñ
shāḳheñ sar-ba-garebāñ haiñ
bilkul chup aur hairāñ haiñ
chāñd bhī hai kuchh khoyā khoyā
kuchh jaagā kuchh soyā soyā
abr meñ chhup chhup jaatā hai
har taare ko chamkātā hai
kuchh bahkā bahkā chaltā hai
paanī meñ bhaTaktā chaltā hai
shabnam paT paT rotī hai
jo aañsū hai vo motī hai
jangal chupkā sotā hai
manzar par sannāTā hai
har patte meñ ḳhāmoshī hai
har koñpal meñ be-hoshī hai
har zarra chup hai qatra chup hai
aflāk kā ik ik taarā chup hai
sab gul-hā-e-raihāñ chup haiñ
champā kī sab kaliyāñ chup haiñ
dariyā kī sab maujeñ chup haiñ
bal khāne vaalī lahreñ chup haiñ
sotī hai guloñ meñ chup ḳhushbū
jhilmil hote haiñ jugnū
chaltī hai havā kuchh dhīme dhīme
phūloñ kī fazā meñ chupke chupke
halke halke giit sunātī
ruk ruk kar ik taan lagātī
bhīge bhīge phuul rasīle
chupke chupke haiñ kuchh hañste
ye ḳhāmoshī aur sannāTā
aur ye sākit mauj-e-dariyā
in āñkhoñ se kyā kyā dekhūñ
is duniyā kā har zarra dekhūñ
yā-rab ye sab manzar kyā haiñ
sahrā kyā haiñ ghar dar kyā haiñ
ḳhāmushī kyā sannāTā kyā hai
aadhī raat kā dariyā kyā hai
ye sab kyoñ hai ye sab kyā hai
ḳhud maiñ kyā huuñ 'jamāl' kyā hai
pani bahta chalta hai
kuchh dukh sahta chalta hai
sannaTa sa kuchh chhaya hai
pani kuchh murjhaya hai
lahren hain kuchh maili maili
maujen hain kuchh phaili phaili
tare jhuk jhuk paDte hain
patte chup chup jhaDte hain
abr ke TukDe uDte hain
kaTte hain phir juDte hain
tare jham jham hote hain
tair chupke sote hain
shaKHen sar-ba-gareban hain
bilkul chup aur hairan hain
chand bhi hai kuchh khoya khoya
kuchh jaga kuchh soya soya
abr mein chhup chhup jata hai
har tare ko chamkata hai
kuchh bahka bahka chalta hai
pani mein bhaTakta chalta hai
shabnam paT paT roti hai
jo aansu hai wo moti hai
jangal chupka sota hai
manzar par sannaTa hai
har patte mein KHamoshi hai
har konpal mein be-hoshi hai
har zarra chup hai qatra chup hai
aflak ka ek ek tara chup hai
sab gul-ha-e-raihan chup hain
champa ki sab kaliyan chup hain
dariya ki sab maujen chup hain
bal khane wali lahren chup hain
soti hai gulon mein chup KHushbu
jhilmil hote hain jugnu
chalti hai hawa kuchh dhime dhime
phulon ki faza mein chupke chupke
halke halke git sunati
ruk ruk kar ek tan lagati
bhige bhige phul rasile
chupke chupke hain kuchh hanste
ye KHamoshi aur sannaTa
aur ye sakit mauj-e-dariya
in aankhon se kya kya dekhun
is duniya ka har zarra dekhun
ya-rab ye sab manzar kya hain
sahra kya hain ghar dar kya hain
KHamushi kya sannaTa kya hai
aadhi raat ka dariya kya hai
ye sab kyon hai ye sab kya hai
KHud main kya hun 'jamal' kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.