dariya
ḳhushk kīkar ke peḌoñ ne
lau ke thapeḌoñ ne
dhartī ke betāb siine se
sarsabz dariyā kī mūrat
ubharne nahīñ dī
manoñ miTTī ke nīche
be-shakl tūdoñ
siyah-rang paudoñ ke hamrāh din kāTtā huuñ
guzargāh sad-rang
āñkhoñ meñ bastī hai
giile kināroñ pe peḌoñ ke nīche
do-ābe kī mahkār uḌtī hai
maidānī duniyā kī jānib guzargāh muḌtī hai
dariyā ke giile kināroñ pe
tahzīb paltī hai
uploñ ke phūloñ ke uupar
dahakte tavoñ par
chhanakte hue surḳh hāthoñ kī
chamkīlī poreñ haiñ
tahmad ke phāToñ meñ
abraq sī rānoñ kī
rangat chamaktī hai
gahre salone samay haiñ
falak ke sitāre haiñ
peḌoñ pe peñgeñ haiñ
peñgoñ ke lambe hilāre haiñ
chādar meñ malfūf maddham nishānoñ meñ mad.hosh rahtā huuñ
dariyā huuñ
ik sail-e-mahbūs huuñ
aur andhe bahāv ke andhe tasavvur meñ bahtā huuñ
KHushk kikar ke peDon ne
lau ke thapeDon ne
dharti ke betab sine se
sarsabz dariya ki murat
ubharne nahin di
manon miTTi ke niche
be-shakl tudon
siyah-rang paudon ke hamrah din kaTta hun
guzargah sad-rang
aankhon mein basti hai
gile kinaron pe peDon ke niche
do-abe ki mahkar uDti hai
maidani duniya ki jaanib guzargah muDti hai
dariya ke gile kinaron pe
tahzib palti hai
uplon ke phulon ke upar
dahakte tawon par
chhanakte hue surKH hathon ki
chamkili poren hain
tahmad ke phaTon mein
abraq si ranon ki
rangat chamakti hai
gahre salone samay hain
falak ke sitare hain
peDon pe pengen hain
pengon ke lambe hilare hain
chadar mein malfuf maddham nishanon mein madhosh rahta hun
dariya hun
ek sail-e-mahbus hun
aur andhe bahaw ke andhe tasawwur mein bahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.