dariya kinare chandni
kyā chhā rahī hai chāñdnī
iThlā rahī hai chāñdnī
dariyā kī ik ik lahar ko
nahlā rahī hai chāñdnī
lahrā rahī hai chāñdnī
dariyā kināre dekhnā
paanī meñ taare dekhnā
tāroñ ko dāman meñ liye
kyā kyā nazāre dekhnā
dikhlā rahī hai chāñdnī
ThanDī havā ḳhāmosh hai
ujlī fazā ḳhāmosh hai
ḳhāmosh hai saarā jahāñ
har ik sadā ḳhāmosh hai
aur chhā rahī hai chāñdnī
dekho samay vo duur ke
ḳheme khaḌe haiñ nuur ke
dariyā kī niilī sat.h par
kuchh phuul se billor ke
barsā rahī hai chāñdnī
ai lo vo badlī aa ga.ī
aur chāñdnī par chhā ga.ī
bāhar nikalne ke liye
phir aa.ī phir katrā ga.ī
ghabrā rahī hai chāñdnī
lo raat ke manzar chale
taare bhī ghul ghul kar chale
baiThe hue yaañ kyā kareñ
'aḳhtar' ham apne ghar chale
ab jā rahī hai chāñdnī
kya chha rahi hai chandni
iThla rahi hai chandni
dariya ki ek ek lahar ko
nahla rahi hai chandni
lahra rahi hai chandni
dariya kinare dekhna
pani mein tare dekhna
taron ko daman mein liye
kya kya nazare dekhna
dikhla rahi hai chandni
ThanDi hawa KHamosh hai
ujli faza KHamosh hai
KHamosh hai sara jahan
har ek sada KHamosh hai
aur chha rahi hai chandni
dekho samay wo dur ke
KHeme khaDe hain nur ke
dariya ki nili sath par
kuchh phul se billor ke
barsa rahi hai chandni
ai lo wo badli aa gai
aur chandni par chha gai
bahar nikalne ke liye
phir aai phir katra gai
ghabra rahi hai chandni
lo raat ke manzar chale
tare bhi ghul ghul kar chale
baiThe hue yan kya karen
'aKHtar' hum apne ghar chale
ab ja rahi hai chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.