Daro us waqt se
har taraf daur-e-farāmoshī hai
zehn sahmā huā baiThā hai kahīñ
apne atrāf hifāzat kī tanābeñ gaaḌe
jab koī baat nahīñ yaad us ko
phir ye dahshat kā sabab kyā ma.anī
aur hifāzat kā junūñ kaisā hai
Daro us vaqt se jab aisā ḳhauf
jis ke asbāb nahīñ milte haiñ
zindagānī meñ chalā aatā hai
rūh-e-vijdān bhaTak jaatī hai
tarz-e-afkār badal jaatī hai
sahrā aa jaate haiñ dīvāroñ meñ
āsmānoñ ke varaq khulte haiñ
jauq-dar-jauq pare rūhoñ ke
chalte-phirte nazar aa jaate haiñ
aur zamīñ kāñch ke TukḌoñ kī tarah TūTtī hai
vahm tasvīr meñ Dhal jaatā hai
kam-nigāhī kā tasallut chup-chāp
dūr-andeshī ko khā jaatā hai
Daro us vaqt se jab aisā ḳhauf
zindagānī meñ chalā aatā hai
jis ke asbāb nahīñ milte haiñ
har taraf daur-e-faramoshi hai
zehn sahma hua baiTha hai kahin
apne atraf hifazat ki tanaben gaDe
jab koi baat nahin yaad us ko
phir ye dahshat ka sabab kya mani
aur hifazat ka junun kaisa hai
Daro us waqt se jab aisa KHauf
jis ke asbab nahin milte hain
zindagani mein chala aata hai
ruh-e-wijdan bhaTak jati hai
tarz-e-afkar badal jati hai
sahra aa jate hain diwaron mein
aasmanon ke waraq khulte hain
jauq-dar-jauq pare ruhon ke
chalte-phirte nazar aa jate hain
aur zamin kanch ke TukDon ki tarah TuTti hai
wahm taswir mein Dhal jata hai
kam-nigahi ka tasallut chup-chap
dur-andeshi ko kha jata hai
Daro us waqt se jab aisa KHauf
zindagani mein chala aata hai
jis ke asbab nahin milte hain
- Book : Shaam ka pahla taara (Pg. 40)
- Author : Zehra Nigah
- Publication : Golden block works Ltd. Karachi (1980)
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.