dars-e-amal
uTTho qadam qadam se milāte chale chalo
sab mil ke ek raah banāte chale chalo
manzil kī dhun meñ jhūmte gaate chale chalo
har marhale ko sahl banāte chale chalo
ban kar ghaTā fazāoñ pe chhāte chale chalo
har har qadam pe dhuum machāte chale chalo
tafrīq-e-rang-o-nasl miTāte chale chalo
insāniyat kī shaan dikhāte chale chalo
aage baḌho ruko na kisī rahguzār par
har dam safar kā lutf uThāte chale chalo
māyūsiyoñ meñ chheḌ do naġhme umiid ke
tārīkiyoñ meñ jot jagāte chale chalo
TuuTe hue diloñ ko mohabbat se joḌ do
jauhar amal ke apne dikhāte chale chalo
dhartī bhī jagmagā uThe ākās kī tarah
rātoñ meñ vo charāġh jalāte chale chalo
chamko gagan ke tāroñ kī sūrat zamīn par
tum āsmāñ zamīñ ko banāte chale chalo
patjhaḌ kī rut meñ phuul khilānā kamāl hai
patjhaḌ kī rut meñ phuul khilāte chale chalo
badle ḳhizāñ 'nazīr' chaman meñ bahār se
vo giit zindagī ke sunāte chale chalo
uTTho qadam qadam se milate chale chalo
sab mil ke ek rah banate chale chalo
manzil ki dhun mein jhumte gate chale chalo
har marhale ko sahl banate chale chalo
ban kar ghaTa fazaon pe chhate chale chalo
har har qadam pe dhum machate chale chalo
tafriq-e-rang-o-nasl miTate chale chalo
insaniyat ki shan dikhate chale chalo
aage baDho ruko na kisi rahguzar par
har dam safar ka lutf uThate chale chalo
mayusiyon mein chheD do naghme umid ke
tarikiyon mein jot jagate chale chalo
TuTe hue dilon ko mohabbat se joD do
jauhar amal ke apne dikhate chale chalo
dharti bhi jagmaga uThe aakas ki tarah
raaton mein wo charagh jalate chale chalo
chamko gagan ke taron ki surat zamin par
tum aasman zamin ko banate chale chalo
patjhaD ki rut mein phul khilana kamal hai
patjhaD ki rut mein phul khilate chale chalo
badle KHizan 'nazir' chaman mein bahaar se
wo git zindagi ke sunate chale chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.