dars-e-KHudi
shabnam kā ek qatra
be-bahra-e-ḳhudī thā
Tapkā falak se shab ko
aur barg-e-gul pe Thahrā
is tarah thā chamaktā
hiire kā jaise TukḌā
kartā thā khel us se
mauj-e-sabā kā jhoñkā
rangīñ huā thā vo bhī
jis tarah har kalī thī
miltī thiiñ jab bhī shāḳheñ
rah rah ke thā sañbhaltā
letā thā barg-e-gul par
dhīre se phir sahārā
rang-e-chaman thā detā
ik da.avat-e-nazārā
har chañd ranj-o-sadma
us ko nahīñ zarā thā
lekin koī sabab thā
jo vo laraz rahā thā
rangīñ huā thā vo bhī
jis tarah har kalī thī
shabnam sī zindagī kyā
behtar hai mar hī jaanā
ḳhuddār ho jahāñ meñ
hiire kā jaise TukḌā
ḳhurshīd kā ho partav
sāmān ḳhud baqā kā
ban aah laḳht-e-ādam
almās kā tū TukḌā
hiire kā ek TukḌā
tashbīh hai ḳhudī kā
shabnam ka ek qatra
be-bahra-e-KHudi tha
Tapka falak se shab ko
aur barg-e-gul pe Thahra
is tarah tha chamakta
hire ka jaise TukDa
karta tha khel us se
mauj-e-saba ka jhonka
rangin hua tha wo bhi
jis tarah har kali thi
milti thin jab bhi shaKHen
rah rah ke tha sanbhalta
leta tha barg-e-gul par
dhire se phir sahaara
rang-e-chaman tha deta
ek dawat-e-nazara
har chand ranj-o-sadma
us ko nahin zara tha
lekin koi sabab tha
jo wo laraz raha tha
rangin hua tha wo bhi
jis tarah har kali thi
shabnam si zindagi kya
behtar hai mar hi jaana
KHuddar ho jahan mein
hire ka jaise TukDa
KHurshid ka ho partaw
saman KHud baqa ka
ban aah laKHt-e-adam
almas ka tu TukDa
hire ka ek TukDa
tashbih hai KHudi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.