dars-e-mohabbat
dost milā thā tujh ko kaisā haif itnā bhī yaad nahīñ
jaan fidā kartā thā jis par dil meñ us kī yaad nahīñ
gardish-e-daurāñ ne jab us ko aah shikasta-hāl kiyā
dekh kar us ke hāl-e-zabūñ ko tū ne kuchh na malāl kiyā
kaun shikasta-hāl kahāñ hai ye bhī dhyān aayā na tujhe
aah tasavvur ne aise mohsin ke taḌpāyā na tujhe
paas thā apne qaul kā jis ko tū ne kuchh us kā paas kiyā
āmad-o-raft-e-derīna kā bhuul ke bhī ehsās kiyā
us ke dard se vāqif ho kar tū ne ḳhabar kyā lī us kī
qarz mohabbat jaan ke dil se kyā koī ḳhidmat kī us kī
dil tere us dost kā nāhaq vaqf-e-sahar-e-lisānī thā
merī samajh meñ ab aayā vo jam-o-ḳharch zabānī thā
nādāñ insān terī daulat tere saath na jā.egī
lailā-e-matlab duur rahegī tere paas na aa.egī
hasr faqat tujh hī par kiyā hai tū hī ik zar-dost nahīñ
dost bahut milte haiñ lekin un meñ aksar dost nahīñ
dost nahīñ jo naam kī ḳhātir apne dost ke kaam aa.e
dost vo hai logoñ kī zabāñ par jis kā misālan naam aa.e
dost mila tha tujh ko kaisa haif itna bhi yaad nahin
jaan fida karta tha jis par dil mein us ki yaad nahin
gardish-e-dauran ne jab us ko aah shikasta-haal kiya
dekh kar us ke haal-e-zabun ko tu ne kuchh na malal kiya
kaun shikasta-haal kahan hai ye bhi dhyan aaya na tujhe
aah tasawwur ne aise mohsin ke taDpaya na tujhe
pas tha apne qaul ka jis ko tu ne kuchh us ka pas kiya
aamad-o-raft-e-derina ka bhul ke bhi ehsas kiya
us ke dard se waqif ho kar tu ne KHabar kya li us ki
qarz mohabbat jaan ke dil se kya koi KHidmat ki us ki
dil tere us dost ka nahaq waqf-e-sahar-e-lisani tha
meri samajh mein ab aaya wo jam-o-KHarch zabani tha
nadan insan teri daulat tere sath na jaegi
laila-e-matlab dur rahegi tere pas na aaegi
hasr faqat tujh hi par kiya hai tu hi ek zar-dost nahin
dost bahut milte hain lekin un mein aksar dost nahin
dost nahin jo nam ki KHatir apne dost ke kaam aae
dost wo hai logon ki zaban par jis ka misalan nam aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.